Thread: Meri shaadi
View Single Post
Old
  (#4)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
Smile 24th February 2015, 10:28 AM

Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna View Post
Terms and Conditions:
Mere dil se nikle huye yeh ehsasaat ek shart pe paRhne hongae, meri ahliya mohtrama ko iss baat ka ilm nahi hona chahiye ke unke saath rehne ka tajurba itna pur khuloos hai ke ehsaas khud-ba-khud bayaaN ho rahe haiN


Shaadi ka wo laddu akhir mujhe bhi toh khana thaa
YaaroN kya batauN maiN, kya woh zamana thaa

Maare khushi ke hafta bhar neend nahi aayi thii
Suno aap beeti ke jab shaadi maine rachayi thii

SaaliyoN ne fakhar se unnka taaruf jab karwaya thaa
Uss din akhrii dafa maiN muskuraya thaa

Phir jo dekhi paikar unki, jhatka sa laga thaa
Jasaamat mein mustaqabil atkaa sa laga thaa

KhaaboN ki malika ka jab deedar hua thaa
Ussi waqt yaaroN maiN beemaar hua thaa

Huyi shaadi ahl-e-mohalla mubarak de rahe thae
Laga tha maano saare jaise chutki le rahe thae

Ya rab tu ne mere saath kya kar diya
Jeene se pehle he mujhe fanaa kar diya

Khaana, bartan, jhaaRu, pocha unhi dino se seekha hai
Shaadi ka yeh laddu hazrat meetha nahi, teekha hai

DaastaaN toh lambi hai, phir kabhi sunauNga
Joru-giri se fursat mili toh khul kar batauNga

SAGAR AASHNA
Waah jee waah aap bhi...
bahut khoob bayangi dard e dil ki
jaldi fursat nikaliye aur aage ki kahani..sunaiye...



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote