View Single Post
Old
  (#552)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
Smile 12th August 2014, 11:36 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
aap se ye ilteja hai ki Ghalib ke is sher ko meherbaanee kar ke ek baar phir se check kar lein

ishrat e qatl ke ahl e tamanna, mat pooch
eid e nazaara hai shamsheer ka aryaaN hona
Ghalib

is ka misra e oola behr mein naheen lag raha hai. is ka jo version main ne pardha hua hai wo hai "ishrat e qatlgah e ahl e tamanna mat pooch". behad hi umdah aur baakamaal sher hai ye - wordplay aur meaning ki kya jalwagari hai is mein - "jab qatlgaah mein talwaar nangi hoti hai to eid ke chaand ke nazaare jaisa gumaan hota hai passionate logon ko". neeche ek link paste kar raha hoon jis mein is ki tafseel se umdah commentary kari gayee hai.

Zarra saheb.. jo shair post kiya gaya! Ghalib saheb ki ghazal se hai..
mukammal ghazal pesh-e-nazar hai:-



Quote:
Aap ne ek aur behad hi khoobsurat aur mashhoor sher quote kiya., Meer ka ...

dekh toH dil ke jaaN se uth’ta hai
yeh dhuaaN sa kahaN se uth’ta hai
Meer
is sher ki khoosbsurti aur husn ki jitni taareef ki jaaye kam hai. ek seedhe saade se lagne waale sher mein Meer ke genius ne bahaut se maani chupa ke rakkhe hain. is sher mein mujhe question aur answer ka ek complicated system mehsoos ho raha hai, jis se bahaut saare interpretations imagine kiye ja sakte hain.below are my personal interpretations only and not technical or expert opinion ....

1st interpretation : donon misre questions hain

dekh toH dil ke jaaN se uth’ta hai ?
yeh dhuaaN sa kahaN se uth’ta hai ?

misra e oola mein "dekh to" aur "ke" usey question bana dete hain, kyunki dhunwe ka source kya hai ye sure naheen hai. *yahi lack of surety, misra e saani mein ek aur question ke roop mein reinforce hoti hai "kahaan" ke zariye. yaani ki Meer sahab ne question ka answer bhi question se diya hai

2nd interpretation : oola is a statement and sani is a question
dekh toH dil ke jaaN se uth’ta hai.
yeh dhuaaN sa kahaN se uth’ta hai ?

agar misra e oola ko question naheen maanein aur kahein ki "dekh to" ek instruction hai, aur misra e saani ko "kaheen" ki wajah se question hi maanein, to maze ki baat hai ki sher mein pehle answer aata hai aur us ke baad question

3rd interpretation : oola is a question and saani is a statement
dekh toH dil ke jaaN se uth’ta hai ?
yeh dhuaaN sa kahaN se uth’ta hai.

oola ko question maan sakte hain ki "is it dil or is it jaan" aur phir saani ko as a statement interpret kar sakte hain ki "make it clear the where this smoke emanates from"

I'm sure there can be many more interpretations of this genius sher by the genius shayar Meer. It is possible some of the above interpretations may be incorrect, in which case please do point them out.
Zarraa saheb hur shayer ki apni soch aur nazariya hota hai...
maiN oper di gayi aap ki sabhi interpretations se mutafiQ (sehmat) hooN!

Aise hi hamari madad aur hausla afzaai karte rahiye ga!

Apna khiyaal rakhiye ga,

DuaooN ke saath,,


*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")

Last edited by Hassan; 12th August 2014 at 11:47 PM..
   
Reply With Quote