View Single Post
Old
  (#548)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
12th August 2014, 11:09 PM

[QUOTE=N@zneen;465189]Really my sher is so good ......
......
... samajhne aur samjhane mein pura pura insaaf kiya thank you my dear frnd


N@zneen ji, aap ka sher har maayne mein daad aur pazeeraaye ka haqdaar tha to isiliye main ne us ki taareef ki hai.

Aap ne aur Hassan sahab ne waaqayee behtareen analysis aur daleelein pesh kareen hain. bahaut bahaut khoob !! Pardhne mein bhi lutf e guftagu e sukhan haasil hua aur kaafi kuchh seekhne ko bhi mila. Aap donon ka tah e dil se shukrguzaar hoon !

Aap ki baat padh ke ab mujhe bhi aisa hi lag raha hai ki kisi misre ko sawaal ki shakl dene ke liye ye zarooree naheen ki koyee khaas lafz istemaal mein aaye jo us misre ko sawaal ki identity de. Aa bhi sakta hai, naheen bhi ho sakta hai, there is no constraint in this matter.

jo aashaar aap ne aur Hassan sahab ne quote kiye, aur kuchh jo main ne quote kiye the, un mein koyee specific word naheen mil paaya jo unhein sawaal bana raha ho. It is done either through a "?" or via interpretation of the reader. Waise agar kabhi ye baat pooree tarah waaze n bhi ho sake ki misra sawaal hai ya naheen, to us kashmakash se bhi lutf aur maani paida ho sakta hai Rahi baat punctuation mark jaise "?" ke zariye misre ke interpretation ko communicate karne ki, to agar ye mashhoor aur mane huwe shora ne kiya hua hai, jis ki misaal aap ne di, to phir is mein koyee dikkat naheen nazar aati mujhe (haan bas agar kisi mushayare ya mefhi mein aap aisa sher suna rahe hon to voice modulation aur verbal dramatisation se hi "?" ka effect create karna hoga )

Chaliye, ye oopar waali baatein to saaf ho gayeen hain (at least mere mind mein, koyee aur member is par comment karna chaahein to most welcome ) Bahaut bahaut shukriya Na@zneen ji mere doubts ko clear karne ke liye, and compliments for fabulous commentary and research to you and Hassan sahab

Bas ek do si baatein arz karna chaahoonga ... Ghalib aur Meer ke quoted aashaar par. ye mere do sab se zyaada pasandeeda shayar hain, jin ko main idol maanta hoon, to in ke aashaar par kuchh kahe bina raha naheen jaata to kuchh arz karne ki ijaazat chaahoonga. Waise jo main neeche kehne waala hoon, us se oopar wale conclusions par koyee bhi fark naheen parhega .... this is a different aspect what I am going to talk about, and would look forward to comments and opinions, and counter opinion is most most welcome

aap se ye ilteja hai ki Ghalib ke is sher ko meherbaanee kar ke ek baar phir se check kar lein

ishrat e qatl ke ahl e tamanna, mat pooch
eid e nazaara hai shamsheer ka aryaaN hona
Ghalib

is ka misra e oola behr mein naheen lag raha hai. is ka jo version main ne pardha hua hai wo hai "ishrat e qatlgah e ahl e tamanna mat pooch". behad hi umdah aur baakamaal sher hai ye - wordplay aur meaning ki kya jalwagari hai is mein - "jab qatlgaah mein talwaar nangi hoti hai to eid ke chaand ke nazaare jaisa gumaan hota hai passionate logon ko". neeche ek link paste kar raha hoon jis mein is ki tafseel se umdah commentary kari gayee hai.

http://www.columbia.edu/itc/mealac/p...17/17_05.html?

Aap ne ek aur behad hi khoobsurat aur mashhoor sher quote kiya., Meer ka ...

dekh toH dil ke jaaN se uth’ta hai
yeh dhuaaN sa kahaN se uth’ta hai
Meer

is sher ki khoosbsurti aur husn ki jitni taareef ki jaaye kam hai. ek seedhe saade se lagne waale sher mein Meer ke genius ne bahaut se maani chupa ke rakkhe hain. is sher mein mujhe question aur answer ka ek complicated system mehsoos ho raha hai, jis se bahaut saare interpretations imagine kiye ja sakte hain.below are my personal interpretations only and not technical or expert opinion ....

1st interpretation : donon misre questions hain


dekh toH dil ke jaaN se uth’ta hai ?
yeh dhuaaN sa kahaN se uth’ta hai ?

misra e oola mein "dekh to" aur "ke" usey question bana dete hain, kyunki dhunwe ka source between dil aur jaan kya hai ye sure naheen hai. yahi lack of surety, misra e saani mein ek aur question ke roop mein reinforce hoti hai "kahaan" ke zariye, ki in donon mein se source kaun sa hai ye sure naheen hain. yaani ki Meer sahab ne question ka answer bhi question se diya hai

2nd interpretation : oola is a statement and sani is a question
dekh toH dil ke jaaN se uth’ta hai.
yeh dhuaaN sa kahaN se uth’ta hai ?

agar misra e oola ko question naheen maanein aur kahein ki "dekh to" ek instruction hai, aur misra e saani ko "kaheen" ki wajah se question hi maanein, to maze ki baat hai ki sher mein pehle answer aata hai aur us ke baad question

3rd interpretation : oola is a question and saani is a statement
dekh toH dil ke jaaN se uth’ta hai ?
yeh dhuaaN sa kahaN se uth’ta hai.

oola ko question maan sakte hain ki "where is the smoke emanating from, between dil and jaan" aur phir saani ko as a statement interpret kar sakte hain ki "make it clear the where this smoke emanates from"

I'm sure there can be many more interpretations of this genius sher by the genius shayar Meer. It is possible some of the above interpretations may be incorrect, in which case please do point them out.

Chaliye, aap sab ka kaafi waqt le liya. ek baar phir se N@zneen ji aur Hassan bhai ka bahaut bahaut shukriya jo unhonein apne bahaut hi khoobsurat aur umdah khayaalaat hamaare saath baante, jin se is activity ka sahi maqsad haasil hua.

dheron duaein ke saath
Zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 12th August 2014 at 11:37 PM..
   
Reply With Quote