View Single Post
Old
  (#12)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
10th July 2015, 11:17 AM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
AdaaoN se apni rijhaane lage haiN,
Woh chupke se dil me
samaane lage haiN.

Kabhii paas reh kar kabhii door reh kar,
Woh pal pal hame ab sataane lage haiN.

JahaaN bhii milo yuun hi bas muskuraana,
Keh dil is adaa per lutaane lage haiN.

Jo dekha hameiN to woh sharmaaye hai yuu.N,
Keh haathoN se chehraa chupaane lage haiN.

Jo nazreN milii thi to palke.n jhuka lee,
Hayaa ke ye manzar suhaane lage haiN.

Mile dil se dil, ab na ye phir judaa ho,
Duaa yeh laboN per sajaane lage haiN.

Nasha ishq ka hai ajab sa yeh zainy,
Sanam ke sitam bhi
lubhaane lage haiN.





Ghazal likhne ka sab se aasaaN tarika:

Ghazal likhte waqt 4 batoN ko dhyan me rakhna zaruri hai:

Matla, Maqta ,Radeef, aur Kafiya

1) Matla:Pehla sher ( pehle 2 lines) ko matla kehte haiN.( laal rang ki lines)

2)Maqta: Aakhri sher( aakhri 2 lines)
Jisme shayer ka naam hota hai usko maqta kehte hain.( hare rang ki lines)

3) Radeef:Har sher ke aakhiri alfaaz ko radeef kehte hain..jaise ke upar ki ghazal me "Lage hain" radeef hai...


Radeef sabhi ashaar me ek hi rahega, badlega nahi..radeef pehle sher me dono lines me hoga aur baqi ashaar me sirf dusri line me hoga..( neele rang me).

4)Kafiya: Radeef se pehle ke lafz ko kafiye kehte hain, yeh har sher me alag alag hoga,lekin kafiye ke alfaaz ki aawaaz milti jhulti hogi, jaise ke upar ki ghazal me

Suhaane ,Lutaane, Samaane etc...( Maroon rang ke alfaz)

Ek aur baat bhi bohat zaruri hoti hai ghazal me, woh hai behr,..

lekin filhaal aap in char batoN ko dhyan me rakhker apni ghazal likhne ki koshish kijiye..


Koi sawaal puchna ho to hamaare ustaad zidd sahib, ufaq sahib, shad sahib, zarraa sahib, sumit sahib etc se puuch sakte hain...




(In English)

Lets start with Matla ,Maqta, Kafiya and Radeef

4 basics of ghazal


1)Matla: First 2 lines of the ghazal are called matla (Red coloured)

2)Maqta: last 2 lines are called maqta, with writers name in it.(Green coloured)

3)"Lage hain"...in the above ghazal is radeef ( Blue coloured).

Radeef should be there in the end of first 2 lines as well as all the second lines of all ashaar...

4)Rijhane, samaane, sataane etc are all kafiye..(Maroon coloured)..


Kafiye should be there in the first 2 lines of ghazal as well as ,second line of all ashaar, just before radeef...


One more thing is important in ghazal and that is behr, but right now you can practice writing your ghazal keeping in mind ,the above 4 aspects..


PS:..I am not a teacher, I just wanted to say few basics of ghazal writing, the way I learned it...


Any doubts ..pls contact our Ustads....Zidd sahib, Ufaq sahib, Sumit sahib, Shaad sahib..







bahot kaam ki thread par nazar padi hai...shukriya zainy sahiba ka ki unhone is jankari ko yahaan share kiya bahot simple tareeke se samjhaya hai...jin bhi doston ko shayri ke basics dekhne hon ye thread zaroor dekhein...han ab vo sare log sdc par nahi hai jinke naam yahaan diye huye..par..aapki madad karne ke liye...shaad sahab..mast sahab...jaise dost sdc par hain...to aap bas shuruaat kijiye....ham aapke sath hain..



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote