View Single Post
Old
  (#3)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
12th January 2017, 07:15 AM

Quote:
Originally Posted by Mujahid Ali View Post
Bharosa zindagi ka kya ye aana aur jaana hai
Agar jeena hai pyare phir toh baar-e-gham uthaana hai

Mai aaya uss nagar mai jo ke anjaan-o-be-gaana hai
YahaaN laila nahi maujuud phir bhi dil lagaana hai

Zara mohtaat rehna muztarab phir se na ho jaana
Ajab hai shehar ye humdum anokha sa fasaana hai

Kisi ko chahiye daulat koee maangey yahaaN roti
Taqaaze hai alag sab ke dayaar-e-dil yagaana hai

Nigaah-e-shoukh se itna mutaasir bhi na ho yaara
Musaafat mai hi rehna voh adaaye kaafiraana hai

Tujhey apna bana lu mai hai itni si meri hasrat
Magar aye hum-nafas iss raah mai haail zamaana hai

Tujhey barbaad na kar de kahi aamaal hi terey
Tabaahi tay toh hai gar tera manzil baada-khaana hai

Kalaam-e-ishq pohche mulk ke har goshe goshe tak
Sukhan ke hi zariye mujh ko izzat hi kamaana hai

Ye andaaz-e-sukhan ko dekh kar kehne lagey yaara
Mujahid fitrat- e -aashiq tabeeyat shayaraana hai



• Baar-e-gham= burden of sorrow
• Mohtaat= cautious
• Muztarab= confused
• Taqaaze= demands
• Dayaar-e-dil= city of heart
• Nigaah-e-shoukh= mischevious eyes
• Mutaasir= impressed
• Musaafat= distance
• Haail= impediment
• Aamaal= practices
• Baada-khaana= bear baar
Kya baat janaab nacheez ki daad qubool farmaiye....niche bayaan alfaaz dil le gaye..

Tujhey apna bana lu mai hai itni si meri hasrat
Magar aye hum-nafas iss raah mai haail zamaana hai

Yunhi likhte rahiye



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote