View Single Post
Old
  (#5)
koi to ho
Registered User
koi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to behold
 
koi to ho's Avatar
 
Offline
Posts: 3,851
Join Date: Dec 2005
Location: karachi
Rep Power: 31
25th June 2007, 01:57 PM

Quote:
Originally Posted by pooja4588 View Post
Itna maasoom to dard'e'jigar na thha
Jisme.N rahe, wahi apna ghar na thha

Tere kadmo.N se kyu.N lahoo bahaa
Iss kadar zaalim to ye saffar na thha

Hum bhi aise tishnagii ke maare hai.N
Chale bhi udhar, rastaa jidhar na thha

Izhaar'e'muhabbat teri jaanib hua hota
Lamha'e'wisaal itna muqtasar na thha

Kuch sangiin jurm karu.N marne ke liye
Ek gunaah me.N shayad vo asar na thha

Kabhi rango.N ki tarhaa bikhra tera ishq
Ro diye hum jo aaj vo tir'e'nazar na thha

Aaj khaamoshii se sitam ''Pooja'' pe kiya
Warna kal talak tu itna be'kadar na thha


Grazie

Apki dost
Pooja

ohhhh very touchy sweety daad ke liye alfaz nahi her sher hi bohat gehrey ahsasaat liye howe hai ............

Tere kadmo.N se kyu.N lahoo bahaa
Iss kadar zaalim to ye saffar na thha

Hum bhi aise tishnagii ke maare hai.N
Chale bhi udhar, rastaa jidhar na thha

Kuch sangiin jurm karu.N marne ke liye
Ek gunaah me.N shayad vo asar na thha

bohat khub dear likhti raho aur umeed hai ye sirf poetry hi hai isse ziada kuch hona bhi nahi chahiye humesha khush raho hansti muskurati raho........


Waqt ke jisam ki kharash hoon main
apne ander se pash pash hoon main
zaaat hai aetbaar e zaaat nahin
ab to main khud bhi apne saath nahin
   
Reply With Quote