View Single Post
Old
  (#576)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
14th August 2014, 11:33 PM

[QUOTE=aadeil;465396]jab sabaa bhii azaab lagne lagii
ye qafas aashiyaanaa lagne lagaa

wwaaahh bahaut khoob !! khoob maani ka khel khela Aadeil bhai !! mere interpretation mein is mein cause and effect ka khel hai jis ki 2 sooratein nazar aa hai hain (1) oola ka phenomenon is the cause and the saani ka phenomenon is the effect (i.e.oola ki baat se saani ki baat paida huwee hai) (2) both these 2 phenomena of oola and saani are the twin effects of a third cause which is left to the reader's imagination

pata naheen, may be I have completely mis interpreted the deeper meaning, par jo bhi hai laajawaab hai !!! dheron dheron daad !!!

naye naye ashiyaane ko maiN saraab samjhaa
qafas qafas-aaraa* samjhe maiN to azaab samjhaa


ek bahaut hi zabardast aur falsafaanaa sher se nawaaza hai Aadeil bhai !! mazmoon bilkul saaf hai aur maani bhi takreeban ayaan hi hai (90% tak) ... bas saani ke interpretation mein halka sa atak gaya hoon.... sawaal jo mere man mein hai ki "qafas qafas-aaraa samjhe" - in alfaaz mein qafas-aaraa ka qafas ke mutalliq kya rawaiyya pinhaan hai, jis par shayar react kar raha hai by saying "maiN to azaab samjha" ? haalaanki main ne 1-2 hypothesis form ki hain, but why speculate when the master craftsman of this sher is there with us !!! ek baar phir se dheron daad !!!



(*one who decorates cage)

jabiin-e-khaaksii meN ek jabiin-e-saNg bhii aisa
yahaaN nazr-e-qafas jaaN aur safhaa-e-dahr dikhaataa hai



Wwwaaahhh !!! Bahaut khoob !! Is sher ne lafz-e-jabeen ki guftagu ko bhi munawaar kiya tha aur ab lafz-e-qafas ki charcha ko bhi darakshaan kar raha hai !! Tah e dil se daad Aadeil bhai !!


/QUOTE]


Phir se bahaut bahaut si daad Aadeil bhai ... mere commets oopar red font mein hain ....


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 14th August 2014 at 11:58 PM..
   
Reply With Quote