View Single Post
Old
  (#950)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
3rd September 2014, 10:01 AM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
Waaah waaah waaaah !!! Bahaut khoob Aadeil sahab !!! Umdah sher jis ne rindon ke dil ki baat ko asardaar alfaaz diye dheron daad !!!
Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
Waaahhh !!! Bahaut khoob Aadeil sahab !!! Parastish aur khuda-saaz ka kya khoob wordplay kiya hai !!! Daad hi daad !!!
Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
WWWWWWWWWWWAAAAAAAAAAAAAAAAAAHHHHHHHHHHHHHHHHH

saare ke saare aashaar behad hi khoobsurat aur pur-asar hain, aur lutf-o-nafaasat se sarshaar !!!

Aadeil bhai .... maanna padega ..... aap mein kamaal ki capacity hai sher kehne ki jis se lafz ke mukhtalif rang ubhar aate hain aur hazireen-e-mehfil ko lafz ko pooree 360 degree tareeke se appreciate karne mein bahaut madad mil tee hai.

Jaisa N@zneen ji ne kaha tha .... is activity mein fusoon-e-aadeil chaaya rehta hai jis se sabhi shayari ke deewaane mantra-mugdh rehte hain.

Ek baar phir se ....Waaah !!!! Daad !!! Is bazm ko aap ke qalaam ki roshni hamesha milti rahi yahi dua hai !!!
Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
is sher mein mujhe "zulmat" aur "aaftaab ke gavaah hone" ki technique behad hi khoob lagi. zulmat mein jo hota hai wo taareekee ke parde mein chhipa rehta hai lekin jab koyee cheez had se bardh jaaye to us ka koyee na koyee gawaah ban jaata hai .... aur yahaan par baada-parastee ke saath ye hua .... literally as well as figuratively ..... SUPERB !!! bahaut bahaut daad !!
Zarraasaab,

aapkii yehi muhabbat aur rehnumaaii hameN josh deti rehtii hai
aur kaii baar aap hamaare sher kii interpretation humse bhii behtar kar dete haiN jo aapne aakhri comment meN kiya hai, waaaah! kya khub interpretation kii hai, bilkul jaise ki aapne hi ye sher keh diya ho

aapkii hausla afzaaii aur daad ke liye aapka mamnoon hooN...

Adil



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote