Quote:
Originally Posted by kwahish
Parbaton se takrane ka hunar janta huN maY
Aabsharon sa utarne ka hunar janta huN maY
dekh mere dil mein sabar ke paimane kitne hai
Musibaton se guzarne ka hunar janta huN maY
Kya jaano tum ke is dil mein khalish kis baat ki
Tookdon se sawarne ka hunar Janta huN maY
Karle kitne bhi koshishe mujhe badnaam karne ki
Daagdaron se nikharne ka hunar janta huN maY
Mat soch ke har pal main toot ker bikhar raha huN
Khushbuon se bikharne ka hunar janta huN maY
Mat rok mujhe In nigahon mein doob jaane de
Samandaron se terne ka hunar janta huN maY
Dekhi hai veerano se bhi aabad hone ki Kwahish
Ujad jane se basarne ka hunar janta huN maY
|
ji very nice creation.........................