View Single Post
Old
  (#3)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Thumbs up 18th June 2015, 10:26 AM

Yaddon ka silsilla chala to kai purane shayar zehan meiN aaye, jinko ham SDC par dekhna chahte hai par wo apni masrooriyat ki vajha se aa nahi paate...shayad hamara yeh dil se bheja paigaam un tak pahunch jaaye...es umeed meiN aik aur pyari si gazal Acharya_mj (Manu) ji ki likhi hue, es bazm ki nazar kar rhi hu

http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=59187

gHam mire phir zab^t mera aazmaane aa gaye
ash^k kuchh Rish^tey puraane phir nibhaane aa gaye

baat hamney kii jo rasman bhii haseeno se kabhii
log dekhiye toHmate.n ham par lagaane aa gaye

aaiine me.n apna chehra tum ne dekha hii nahii
Ungliyaa.n kyu.n apni auro.n par uthaane aa gaye?

is qadar bhii log haiN bereh^m socha bhii na thaa
zul^m kar ke zakh^m par nishtar chalaane aa gaye

zindagi bhar to nahii kii qad^r mere pyaar kii
mar gayaa to qabr par sham,e'N jalaane aa gaye

shaaKh-e-dil se phool ban kar dard kee phooTee Ghazal
phir lo ah-le-baz^m taariife.n lutaane aa gaye

jab kabhee Khoon-e-jigar se maiN ne likkhee hai Ghazal
hamnisheeN mere sabhee bas muskuraane aa gaYe

ilm ham ko jab huaa gham apna hai unki khushii
muskuraa kar ham tabhi phir Zakh^m khaane aa gaye

laakh chaaha hamne rukh yaado.N se teri moDna
beete kuchh bereh^m lamHe dil dukhaane aa haye

ham ne dekhee hee nahii aa.Ngan men aisee bhee fizaa
tum jo aaYe yooN lagaa mausam suhaane aa gaye!

haa.n magar apne muqaddar me.n yeh mausam hee na tha
tum gaye , din zar^d patjhaR ke puraane aa gaye

Yu.n rahe apne maraasim haadso se umrabhar
Chaaha dil , khoon-e-jigar mera bahaane aa gaye


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote