View Single Post
Old
  (#477)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
7th August 2014, 09:47 PM

Quote:
Originally Posted by Hassan View Post
Adaab mehfil-e-fusoon-e-alfaaz,
aik puraani Ghazal pesh-e-khidmat hai,
Lafz azaab MaQte meiN numayaaN hai:-


lavaa mohabbat ka phoot pada, jab pehli baar tu khwaab hua
phir raatooN ki neend haram hui, mera rukh khuli kitaab hua

khalqat-e-shehr meiN ik chehre per nigaah jaa thehri...
us raat chaand ne karwat li, phir ussi ka chehra mehtaab hua

mehak uthaa mera aangan aur ujray chaman ko ranaayi mili
mukhra-e-jaan shabnam se tar-ba-tar ho kar rangat-e-gulaab hua

vasl ka hur lamha mukhtasir hua, phir hijr ne jese jakar liya
mera badan jhulasta giya, mere gham ka nagar shadaab hua

jab dard-e-tanhai ne shiddat ikhtiyaar ki, main be-tahasha ro diya
jigar se khoon tapakta raha aur "hSn" mubtala-e-azaab hua...



Waah !! Har sher mein ek naala ek fughaan aur ghazal pursoz !! Bahaut khoob !! Aur lafz "azaab" ka bhi khoob istemaal hua hai !! Dheron daad Hassan bhai !!


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote