View Single Post
thanks
Old
  (#45)
akant
Registered User
akant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to behold
 
akant's Avatar
 
Offline
Posts: 1,774
Join Date: Apr 2003
Location: UP, India
Rep Power: 30
thanks - 10th June 2015, 11:42 PM

Dear Sanjay ji

namaskaar...
kaise hain aap... apane javab ke sath hazir hu...

1 Shayri dil se hoti hai ya dimag se.

Shayri likhi to jaati hai dimag se lekin sochi jaati hai dil se.. jaha dono ( dimag aur Dil) ka milaap hota hai vaha shayri achchhi hoti hai. Jab kisi ek ki upasthi kam hoti hai vaha shayri mein rangat kam hoti hai..

2. Shayar log thore zyada emotional aur sensitive hote haiN , aisa kyun.

Shayr log sochate hain dil aur dimag dono se.. dil ka percentage jyada hota hai.. esliye shayr emotional aur sensitive hote hain..

3. Aapki nazar meiN aaj kal ke daur ki halki phulki shayri theek hai ya purane zamange ki bhari bharkam urdu shayri theek .

Shayri purane jamaane mein bhari bherkam hoti thi.. to kam logo ko samajh aati thi.. jyadatar urdu ki samajh rakhane vale hi shayri ke shaukeen hua kerte the.. yahi vajah rahi ki shaukeeno ki sankhya aaj ke toolana mein kam thi.. jo shayr shayri mein urdu shabdo ka kam estemaal kerte hain.. unki shayri jyada pasand ki jaati hai.. aur apani baat kahana chahunga ki main.. puri koshish kerta hoon ki shayri mein kam se kam urdu shabdo ka prayog keru.. ya kahiye ki hindi mein jyadatar shado ka prayog ker shayri likhi.. meri shayri ko padh ke aap dekh sakate hain.. maine bahut kam urdu shabdo ka prayog kiya hai.. kam urdu shabdo ka prayog kerne se shayri ko pasand kerne vaalo ki sankhya jyada rahi hai aisa mera vishwas hai… jitani aasani se man ke bhaav aapko samajh aate utani aasani se cheejo ko aap accept kerte hain.. yahi vajah hi another language mein gaali (abuse) di jaay to aapko asar nahi padega..lekin aap ko apani bhasha mein gaali di jay to aap bahut jyada naraj ho sakte hain..

4. Shayri zyada tar dard bhari hi kyon likhi jaati hai, kya chot khane se hi shayri nikharti hai.

Sachchayi to yah hai ki shayri jyadatar dard ke mahaul mein likhi jaati hai.. kyonki us samay man sthir hota hai.. jabki khushi ke samay man chanchal hota hai.. chote khaane se aap un ghatanao ka achchhi tarah se dil lagakaar man sthir hone kakarn achchhi tarah se vishleshan kerte hain.. esliye shayri thodi behtar ho jaya kerti hai..

5. Ek ache shayar ki kya pehchan hai aapke hisab se

ek achchha shayr vahi hota hai jiski shayri sabko pasand aaye.. jisko padhane se , padhane vale ke dil ke armaan prafullit ho jaaye.. vo apane beete dino ko ek baar awasy hi us najariye se dekhe jaisa ki shayr ne likha hai…

shubhkamnao sahit,
Akant...


*********
आहट सी कोइ आये तो समझ लेना कि तुम हो...
AahaT si koi aaye to samajh lena ki tum ho...
   
Reply With Quote