View Single Post
hmm
Old
  (#72)
akant
Registered User
akant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to behold
 
akant's Avatar
 
Offline
Posts: 1,774
Join Date: Apr 2003
Location: UP, India
Rep Power: 30
hmm - 17th June 2015, 03:09 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post

Shukriya jawaab dene ke liye akant jii...
bilkul main behtar samajhti hoon is samaaj me ek mahila ki pareshaniyon ko...magar kyun ki interview aapka hai to bas aapke views janna chahti thi...

3. Shayri likhane ke naate shayad logo ka public plateform per vo mukaam/samman ka na diya jana jo ek purus shayr ko prapt hota yaa milata hai..

Kya sach me aisa hai.....??

kahi pe nigaahe kahin per nisaanaa hota hai..

Ye baat kuch samajh nahi aayi...


hai.. ya kahu ki purus ke verchasv me anavashyak hashtakshep hota hai.. jise vo khushi man se sweekar nahi kerta.. yahi vajah hai aazaad kheyaal per prashnchihn (?) lagata hai..

To ye to poori tarah se purush ki kamzor mansikta ka prateek hai agar vo aisa sochte hain..

kahu aazad kheyaal banne ke liye aatmnirbhar hona kahi jyadaa jaruri hai.

Main manti hoon aatmnirbhar hona zaroori hai...magar shayri ek hunar hai...aur iska kisi ki bhi financial condition se koi lena dena nahi hota...kisi bhi shayar (male or female) ko khud ko vyat karne ka hak uske self dependent hone ki kasauti par nahi aanka ja sakta....

Kisi debate me nahi padna chahti main..ye bas mere apne vichaar hain...

Fir hazir hoti hoon jald hee....

Tab tak ke liye all d best...
Dear madhu ji,

actuall aap ne meri pahali line nahi padhi gaur se.. anyatha aapke jo baad me prashn aaye hain vo swatah hi answerit ho jaate hain.. main red line ke upper hi likha hai ki ...per mujhe jo samajh aata hai ki ek mahila hone ke naate sambhavtah kya kya muskile aati hogi use bayan ker raha hoon.

mera javab sirf shayri ke liye tha. naaki hunar ke liye.. kyonki kai baar log apane hunar se aatm nirbhar aur sammanit hote hain..vaha mahila hone ka koi nuksaan nahi hota.. jaise ki ek nartaki, sangeet shikshika, scientist etc..

Akant...


*********
आहट सी कोइ आये तो समझ लेना कि तुम हो...
AahaT si koi aaye to samajh lena ki tum ho...
   
Reply With Quote