View Single Post
Old
  (#8)
dineshdharvi
ek dost
dineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud of
 
dineshdharvi's Avatar
 
Offline
Posts: 5,566
Join Date: Nov 2007
Location: gujarat (india)
Rep Power: 34
16th April 2009, 05:16 PM

Quote:
Originally Posted by Diya_Jale View Post
Mahfil ko Diya ka Salaam,
aaj ek sachai ko aap sabke samne rakhne ja rahi hun ,
yeh woh pal hai jo har ladki ke zindagi mein aate hai ....
aur har koi isko mehsus karta hai.....

yeh sirf mere dil ke ehesaas hai jise mein aap sab se share kar rahi hoon
Shayad aapko pasand aaye ....yeh ghazal humesha mere Dil ke kareeb rahegi
ghaltiyan keliye muaafi ki haqdar hu..............





Har koi nibhaaey yeh duniya daari babul
beti vidaa karne kii teri hai baari babul

Chhor ke chali jayegi beti maayka apna
sunehri yaadeiN bachpan ki saari babul

Rah jayenge pichhe apne khoon k rishte
yeh duniyaa ki reet kitni niyaari babul

Maa ke aanchal ki chaw jab naa milegi
khoob royegi tab teri raaj-dulaari babul

Saat feroN me banega rishta saat janam ka
fir paraaii ho jayegi beti tumhaari babul

Kaise jiyegi Maa judai beti ki seh kar
ye rasm padegi uspe bahot bhaari babul

Teri har yaad ko dil mein basa kar Diya
ho jayegi apne saajaN kii pyaari babul

diya ji apne bahut acha likha hai. aise vida jab hoti beti tab humesha aisa hi mahol bana hota hai. khush rahiye humesha humari bhi khusi mil jaaye apko.
apne ye baat bilkul sahi kahi hai saat fero se banta hai risthna saat janam ka
Saat feroN me banega rishta saat janam ka
fir paraaii ho jayegi beti tumhaari babul


AankheN khuleeN to jaag uTheeN hasrateN tamaam
Uss ko bhi kho diyaa jissay paya thaa khwaab mein
   
Reply With Quote