View Single Post
Old
  (#3)
dilip200
Adhoori Aas
dilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud of
 
dilip200's Avatar
 
Offline
Posts: 1,543
Join Date: Jul 2006
Location: india , shivpuri
Rep Power: 31
23rd August 2008, 11:08 AM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
Namaskaar dosto

phir se bazm mein hazir hoon apne ahsaas lekar....kuch udhasi ke palo.n mein kagaz par likhe ahsaas aap sabke saath share kar rahi hoon.



"Yaad Aaye Bahut"

“toot kar jo hum bikhrey to gabraye bahut,
teri bahho.n ke sahaarey yaad aaye bahut,

hatheli par rakh ashq, jo tumne choom liya,
hua afsos! Ab tak yeh moti ganvaye bahut,

muskil mein kyu koi haath na thaam saka,
kahne ko to dost humne bhi banaye bahut,

jane kaya tha uski udhaas si aanko.n mein,
woh jab bhi yaad aaye hain, rulaaye bahut,

umr-e-jawani apni kyuN tanha hi beet gaye,
yeh khalish abhi tak hai dil dukhaye bahut,

mazhabi junoon mein, sarhad bana daalii,
Phir apne faisley pe haiN pachtaye bahut,

kis kis ko batauN apnii udhaasi ka sabab,
ki “Sunita” ko ek pardesi yaad aaye bahut.

(22.08.2008)

hello didi

aaj ek bahut hi shandar gazal likhi hai aapne
sach poochiye to jitni gazal maine padii hai uname se ye mujhe behad pasand aayii... poori ki poori gazal behad pasand aayii
gazal ke har ek sher per daad.....

shukriyaa

dilip


" Dilip " -Ek Adhoora khwab


Dard bantne se ab darr lagta hai
mere gamo ka usnane falsafa bana diya
  Send a message via Yahoo to dilip200  
Reply With Quote