View Single Post
Main YahinN huN
Old
  (#23)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Main YahinN huN - 6th August 2015, 08:15 PM

Quote:
Originally Posted by mast View Post
Praveen ji namaskar

Yun to aapse baat joti rehti jai par di ne aapko yaha laakar shaayad aur qareeb aane ka mauka de diya ho jaise. Sanjay ji ne kaafi dilchasp sawaal pooche hai aur aapke hawaaon ka intezaar rahegaa.

Ek sawaal meri taraf se bhi add kar raha hoon aapki list mein:

1. Aap ek aisi field se taalukaat rakhte hai jaha aap apne passion ko follow kar rahe hai ek tarah se. Kya aapko lagta hai ki jo log aisa nahi kar paate aur shayri mehez ek shauq ke taur par karte hai vo itne pukhta shayar nahi ho sakte? Aapka tajurba aur rai jaanna chahunga yaha par...

Mast bhai

Muafi chahta huuN ke din meiN maiN aapse muKhatib na ho saka. Pata nahiiN kyuuN mera net connection ghayab tha. Abhi thoda arsa huve shuru hua aur maiN haazir ho gaya.

NahiiN mujhe aisa nahiiN lagta ke log khud ko ek shayar ke taur par aage nahin le jaa sakte. Isske junoon ko aap kis hudd tak qayam rakhte haiN ye iss baat par nirbhar karta hai. Aur aksar log isse peechhe chhod kar apni zindagi ki priorities meiN ulajh jaate haiN. Aur phir shayri mahaz aik shauq bankar reh jaati hai.

Mast bhai likhna mere liye shuruaat se junoon raha hai. MaiN to bataur ek shayar hi khud ko aage le jaana chahta thha. Lekin jab maiN Delhi aaya to mujhe Advertising Writer ke taur par ek company meiN mauqa mila. Wahan maine apni writing ke commercial pehlu ko pursue kiya. Afsos ye raha ke shayri kahiN peechhe chhoot gayi. Ab maiN ye shiddat se mehsoos karta huuN ke mujhe apni shayri ke saath insaaf karna chaahiye isliye maiN job chhod kar iss koshish meiN laga huuN. Par ye baat hamesha rahi ke job ke duraan bhi shayri jaari rahi. Wo choot jaati to shayad mera koi wajood hi nahiiN reh jaata.

Ummed karta huuN ke maiN aapko mutmain kar paya huuN. Agar koi kasar reh gayi ho ya koi aur baat aapke zehn meiN hai to bila shaq hukm kareN.

Khaaksaar
Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote