11th April 2004, 11:14 AM
sanju mere bhai
aapne hamari shayri ki dariya mein tareefon ke itne pul baandh diye hai ,,ki darta hoon is dariya mein kahin sailaab na aajaye...(just kidding)...waise yeh to aapki mahanta hai jo ek jarre mein bhi parbat dhoond lete hai aap....jo swam acha hota hai usko sab dunia sundar dikhti hai...aapki dariyadili ka shukriya kehne ke liye alfaaz nahin hai mere paas.,......aapka yahan aana hi bahoot badi hauslafzai hai....apna khayal rakhiye.,..
-Manoj
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|