14th December 2017, 07:30 PM
chand aur asha'ar :
uske qatlgaah main qatl ho k to dekh zaraa
khuN tapke hai to kya lage hai bas achchaa hona
marz yun ba-muddat hai k ban gayaa hai dawaa
raas ayega kyun bhala mujhko k bas achchaa hona
zindaGi main to gham se nizaat mumkin hi nahiN hai
Jannat ka bhi khwaab hi hai bas achchaa hona
|