View Single Post
Old
  (#12)
secret admirer
Registered User
secret admirer is just really nicesecret admirer is just really nicesecret admirer is just really nicesecret admirer is just really nice
 
Offline
Posts: 473
Join Date: Mar 2010
Location: New Delhi
Rep Power: 18
12th July 2010, 09:04 PM

Quote:
Originally Posted by KATIL SHAYAR View Post
Bhagya aur karm dono he jeevan chakr ko suchaaru ruup se chalane k liye nitaant aavshyak hain...

Waise mai zyadatarr bhagya parr he vishwaas rakhta hu... Aur ye vishwaas kayam rakhte hue karm isiliye karta hu k ab jo ho raha hai mere saath wo puurv upaarjit karmo ka phal hai....

Aur aage jo hoga wo ab jo mai karm karr raha hu.. Unke according mujhe phal ki praapti hogi...


Waise mai bhaagya me viswaas rakhne waalo ko ek story sunana chahta hu...


Ek baaar subah-2 miya biwi me jhagda ho jata hai ... Jhagde ka kaaran yahi k miya ji karm parr vishwaas rakhte they aur biwi ji bhagy parr...

miya ji ka kehna tha ki agar bhaagy bada hai to mai aaj khana nahi khaaunga ... aur yaha se duur jungle me paed parr jake rahuunga... Fir dekhta hu k aaj khana apne aap mere muuh me kaise jata hai...

( Wo ek sanskrit ki pankti bhi to hai na.. Proper to nahi yaad parr arth ye hai k soote hue sher k muuh me hiran apne aap nahi jata.. )


Biwi kehne lagi k aap yakeen karo ya matt karo.. Parr agar aaj aapke bhagy me khana hoga to aapko zaruur milega...

Ye sunkarr miya ji ko aur gussa aa gaya aur jungle ki taraf badh gaye...

Ab din chadhne laga .. Biwi ki miya ji ki chinta hone lagi... Aakhir bhaartiya naari jo thi ( ispe mera next topic kaisa rahega )
Khair... biwi ne khana lagaya aur nikal padi talaash me...

Near about 2 baje usko miya ji ek paed parr baithe dikh gaye... Chuunki miya ji lakadhaare they to unhe paed ki tehniyo parr baithna pasand tha... Biwi ji ne khane ka tiffin rakha aur kaha ki ab zidd choro aur khana kha lo... Miya ji bole ki aaj to mai dekhuunga ki bhaagy bada ya karm.. Aur tum jaao aur bachho ko school se le aao .. Fir biwi khane ka tifin rakhkar ye kehkar chali gayi k jab gussa shaant ho jaye tab kha leejiyega...


Parr miya ji to miya ji they... Sanki type k... Sanak lag gayi to lag gayi...

Ab shaam hone ko aayi... Miya ji ka bura haal tha...
Lekin fir bhi ve ade rahe...

Ab udhar se 2 daaku aa gaye... Usi jungle me usi paed k neeche baith karr apni loot ka hisaab lagane lage... Itne me ek daaku ki nazar khane k tiffin parr padi... Usne apne saathi ko bataya... Dono ne tiffin khola to dekha ki achha lazeez khana hai... Unme se Ek daaku ne jaise he niwala tod kar muh upar kar k khane ki koshish ki to uski nazar miya ji parr padd gayi...

Bass fir kya tha unhone miya ji ko neeche utaara aur puucha k kya chakkar kya hai... Tum yaha uupar chadh karr kyu baithe ho aur kya tiffin me zehar mila khana khilakarr hame maarne ka plan tha kya tumhara... Miya ji ki sitti pitti gum ho gayi... Miya ji ne apni vyatha keh sunaayi.. Miya ji ki kahani sunkarr daaku soch me padd gaye aur unhone miya ji se kaha k ye khana kha k dikha.. Miya ji bole nahiiiiiiiiiiiiiiiii....
Wo bole khaaaaaaaaaaaa....

Ab daakuo ne milkarr khana miya ji ko zabardasti thoos thoos k khila diya
katil ji.........waise baat to aapki sahi hai k Bhagya aur karm dono he jeevan chakr ko suchaaru roop se chalane k liye nityAnt aavshyak hain....

apne kaha k aap bhagya par jara jayada hi vishwas karte hain aur har karm ko karte waqt ye dhyaan rakhte hain k jo bhi apke sath ghatit ho raha hai wo apke purva uparjit kaRmo ka parinam hai....

is vishyas par mera manNa hai k apki soch bahut asha wadi hai...

haan main bhi apki soch se ek rai rakhta hoon parantu sirf un halat par jahan hamara samna prakarti se hota hai jaise ek udahran main bhi deta hoon apko..........

ek gaon mein ek gareeb kisaan tha usne bahut mehnat karke bahut hi acchi fasal ugai.....tabhi wahan par ek sadhu mahatma aaye aur unhone usse kaha k wah tum to bade hi bhagyashali ho jo itni acchi fasal tumhare khet mein ugi hai...is baat par wo kisan bhadak gaya aur kahne laga .....k bhagya kahan se bich mein aa gaya ye to meri apni mehnat hai aur usne us sadhu ko wahan se bhaga diya....sadhu wahan se nikal kar dusre gaun chala gaya....us raat bahut jor ki andhi toofan aaya ....sadhu agle din usi kisaan k khet k paas se wapas gujar raha tha usne dekha k kisan ro raha hai sadhu ne pucha kya hua... to usne kaha k bhagya ka khel to dekho meri sari fasal kal ke toofan me barbaad ho gayi....is par sadhu ne kaha k jab main tumse kal bhagya ko lekar kuch kah raha tha to tum mujh par bigad rahe the aur aaj khud bhagya ko kos rahe ho......

in halatoN mein jahan hame nahi pata k kiske karmo se hame ye acche ya bure phal mile hain wahan main bhi bhagya k naam se use pukarta hoon...


Na tha main to khuda tha, kuch na hota to khuda hota?
mitaya mujh ko hone ne, na hota main to kya hota !!
(NM)
  Send a message via Yahoo to secret admirer  
Reply With Quote