View Single Post
Old
  (#12)
shakuntala vyas
Registered User
shakuntala vyas is a splendid one to beholdshakuntala vyas is a splendid one to beholdshakuntala vyas is a splendid one to beholdshakuntala vyas is a splendid one to beholdshakuntala vyas is a splendid one to beholdshakuntala vyas is a splendid one to beholdshakuntala vyas is a splendid one to beholdshakuntala vyas is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 337
Join Date: Nov 2009
Rep Power: 24
17th June 2010, 04:14 PM

Quote:
Originally Posted by ghayal_shayar View Post
Ab to waqt hi nahiN mil pata kavitaayeN likhne ka par kuch puraane pannoN me mil gaya mujhe to socha likh hi daalun kya pata kisi ko ahchi hi lag jaaye,gar kisi ki baahvnaoN ya soch pe ye kavita kataksh kare to maafi ka talabgaar rahuNga.....!!



mera janam
kisi aspatal ya
prashav grih me nahiN,
balki samaj ki
oopri manjil mein
hua tha.

mera laalan paalan
kisi maa ne nahi
balki samaj ki
beechwali manjil ne
kiya tha.

main
ab tandurust aur
jawan hoon.

mera vichran sthal
neechli manjil se
oopari manjil tak faila hua hai
meri maan aur maryadaa
aakash choom rahi hai.

log bhagwan ke bina
reh sakte hain,par
mere bina nahi.
Meri pahuNch,
panditoN ki shikhaoN,
aur mullaoN ki dadhiyon me,
samaan roop se hai.

mai saapekch hoon
dharm nirpekch hoon
meri gandh lagte he
khushali fail jati hai
aur jahan mein nahi hota
wahan badhali fail jati hai.

main yug ki pukar hoon
samay ki dhaar hoon
najuk sukumar hoon
desh ka bharshtachar hoon.

bahut hi acha likha

sabd hi nahi kya kahu ek hi sabd me sari daad koi jabab nahi ish rachana ka

bahut dino baad yesa hua ki bar bar padhi

yesa sunder chitran kiya apane

aap bahut hi acha likhate he

mera vichran sthal
neechli manjil se
oopari manjil tak faila hua hai
meri maan aur maryadaa
aakash choom rahi hai.

bahut hi acha

log bhagwan ke bina
reh sakte hain,par
mere bina nahi.
Meri pahuNch,
panditoN ki shikhaoN,
aur mullaoN ki dadhiyon me,
samaan roop se hai.

itana acha likha


mai saapekch hoon
dharm nirpekch hoon
meri gandh lagte he
khushali fail jati hai
aur jahan mein nahi hota
wahan badhali fail jati hai.

kya sunder chitran he

desh ka bharshtachar h
main yug ki pukar hoon
samay ki dhaar hoon
najuk sukumar hoon

likhate rahe

apki rachanao ka intzar rahega
.
   
Reply With Quote