View Single Post
Old
  (#147)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
13th July 2014, 11:25 AM

Quote:
Originally Posted by Praneeta View Post
tere fusoon-e-bosa ki kya tareef karun 'ananthpak'
ke ek bosa ne umr bhar ka itminaan de diya

WWWWWWWAAAAAAAAAHHHHHHHHHHHH !!! pur-fusoon sher kaha Praneeta ji !!! paak mohabbat se bhara hua !!! khoobsurat ehsaasaat se labrez !!! aur lafz ka bhi kya khoob istemaal kiya hai !! aap ko dheroN dheroN daad Praneeta ji !!!

just a small point. mujhe intuitively aisa lag raha hai ki donoN misroN meiN agar lafz ko "bose" ke form meiN kaha jaaye to shayad zyada sahi sound kare. again, just my opinion for your consideration only. is ke peechhe ki theory se naawaaqif hooN

ek seekhne ka mudda mujhe ye lag raha hai ki "a" par khatm hone waale lafz even in singular form meiN bhi kab "e" par khatm hote haiN, e.g "tere waade par jiye hum" (lafz "waada), ya "n shole meiN ye karishma" (lafz "shola"). koyee member meherbaanee kar ke agar roshni daaal sakeiN to mujhe seekhne ka mauka haasil hoga.

ek baar phir se aap ko khoobsurat sher par daad !!!


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote