View Single Post
Old
  (#127)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
29th February 2016, 03:41 PM

Amrita ki zindagi bahot bharpoor zindagi thhi!likhne ki salahiyat to bhagwaan ne use virse mein dee thhi aur use zindagi bhar parwaan chadhaati rahi aur khoob kamyaab rahi ! Pita ne shaadi kardee ,apni zimmedari nibhayee! Amrita ne grihast jeevan ke saalon mein apna farz bakhoobi ada kiya ! Is sukh ko bhogte hue do kamaal ke bachchon ki MAA bani !matritva sukh se bada koi sukh nahi, apna aaj bhool kar bachchon ke kal par nyochhawar kar diya ! ek bharpoor zindagi!

Punjabi Adab mein kamaal ka izafaa kiya Desh videsh mein jaani pehchaani gayee dher saare maan samman se nawazi gayee!Adab ke is safar mein unki do bakamaal shaksiyaton se ajeeb o gareeb halaat mein mulakaat hui ! Dono ke saath unka rabta zindagi bhar bana raha !yeh aisa bandhan /rishta thha jise samaj ki sehmati nahi mili !Us daur mein bhi unhone is dosti ko khoob nibhaya ,kisi ki parwah nahi ki ,apne raaste,apne niyam se aagey badhti rahi ! samaj bhi unka kuchh nahi bigaad saka ! unke likhe ko nahi nakaar/nazarandaaz kar sakaa balki unhe Punjabi adab mein unke yogdaan ko saraha aur sammaanit bhi kiya!

Jin do shaksiyaton se bahot muttasir thhi unhone ne bhi unpar apni muhabbabat ke izhaar mein koi kasar na chhodi! Sahir ki poori shayari mein sirf Amrita hi Amrita dikhai deti hai ! khat o kitabat ek taraf –shaiyari ke zariye apne har ehsaas ko Amrita ke nazar kar diya ! Imroz yeh jaante hue bhi ki Amrita Sahir ki deewani hai kabhi etraaz na kiya balki unhe unki zindagi ka atoot hissa maan unka saath na chhoda ! Sahir to khair hamesha ke liye juda ho gaye lekin Imroz Amrita ke aakhiri waqt tak unke paas rahe! voh to aaj bhi kehte hain jism juda hua hai par rooh saath hai !

Amrita to chali gayee nahi yeh kehna galat hoga kyonki jo virasat apne peechhey chhod gayee hai voh hum sabke dilon ka khazana hai Muhabbat,Dosti Ishq aur Junoon ki aisi ibarat likh kar gayee hai jo kaaljayee hai !

AMRITA TUJHE SALAAM !


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote