View Single Post
lafz "zindaan"par members ke qalaam
Old
  (#320)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
lafz "zindaan"par members ke qalaam - 24th July 2014, 12:39 AM

dostoN is baar ke lafz zindaan par members ke khud ke kahe huwe aashaar jinhone “zindaan” mein jashn e sukhan ka lutf paida kar diya

in khalwatooN se ab hum ukta chuke haiN 'hSn'
youn jabr e musalsal se behtar humaiN zindaaN nawaaz doh
hassan

rawaaN aisa ke afsurda rahe zindaan e tan meiN ye
lahoo ko mere nazzara e khanjar achchha lagta hai
zarraa


qabal az qaid mujhe kuch to hausla de mere yaar
suna hai Qaidi e zindaaN 'Qaatil' bhi hote haiN
hassan

qatl zindaaN meiN tay to hai lekin
qaid e tanhaayee maar daale hai
zarraa

fusooN jo bos e daar o rasn ka wo ab dikhate haiN
kahaaN khalvat kadaa dhundoo ye zindaanii e hastii meN
aadeil

mureed hoon tera zindaanee hoon main
ab chhahe tu jaa.n lele ya zindagi baksh de
ananthpak

kahaaN rukuuN kahaaN jaauuN ki har manzil tujhe paauuN
teri zulfoN kii halqoN se banaa zindaaN hai iis dil ka

aadeil

jab kabhii kar looN ibaadat yeh duaa yazdaan se
wo riha kar de na mujhko raahat e zindaan se
aadeil

Giraftar hue jab se tere zaati Zindaan meiN
Aaina jab bhi dekhta hon, phoot ke roti hai jawani meri
hassan

ye khudaaraayee bhi paNhuchee hai kahaaN
aainaa banne laga hai zindaaN

zarraa

ye saza khud hii muqarar kii nahin Royungaa main
Aankh zindaan ho gayi aur ashk zindaani huyen
ufaq

umr guzaarii thii terii jin chasm e gul meN
aaj hameiN kyoN quaid e zindaaN si lagtii hai
aadeil

mar na jaye kahiN zameer mera yeh rooh bejaan rehne do

azaadi mili to behak jaoN ga, mujhe Qaidi e zindaan rehne do
hassan

aseeree meiN jiye jaate haiN zindaaN meiN malaaloN ke
gunehgaar aaj ke haiN aur mujrim guzre saaloN ke

zarraa

anna ke faislay pe zindagi qurban kar donH ga
laga kar aag apne ghar ko khud veraan kar donh ga
hajoom e shehar meiN mera tamasha dekhne waloN
maiN khud ko khud hi supurd-e-zindaaN kar donh ga
hassan

teri husn e barhamii se maiN kahaaN anjaan tha
khat tera leke jo aaya qaasid e zindaan tha
aadeil

Rashk e jinaan hai ye Zindaan e Ishq
Maut de dey mujhe rehaaii na dey
n@zneen

maiN harf e na haasil hooN mitaa dijiye mujhe
ik waaqia samajh ke bhula dijiye mujhe
yeh faaslay na mita sakooN ga tamam umer
zindaaN ke maQtal pe latka dijiye mujhe
hassan


sabhi shora jinhone yahaan shirkat ki aur is lafz par ghaur karne ka ilsila musalsal qaayam rakkha un ka bahaut bahaut shukriya. yahaan ye kehna chaahoonga ki hassan bhai aur aadeil bhai ne 5-6 ashaar pesh kar ke lafz ke alag alag pehluon ko saamne rakkha. jin qadrdaanon ne seekhne ki is koshish mein humaaree hausla afzaayee kari un ka bhi tah e dil se shukrguzaar hoon, aur un ka bhi jinhone is is thread to pardha ho aur ye kar ke bhi hamaara saath diya


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 24th July 2014 at 01:10 AM..
   
Reply With Quote