View Single Post
Old
  (#22)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
5th September 2014, 12:53 AM

[QUOTE=sunita virender;467378]2.Shayri ka shauq aapko kabse hai...??
[/QUOTE

[COLOR="DarkRed"]phir waqt aaya college ka. ab ek to wo daur hi aisa that ki dil shaayaraanaa sa hone lagta hai

Zarra ji aapke bare meiN jaan kar bahut accha lga aur yeh highlighted line padkar, bahut hasi aaye

Zarra ji, aap us shayrana daur ki koi poetry share kareN, hame accha lgega padkar
[/QUOTE

Sunita ji .. maanna parhega aap ki paarkhee nazar ko. is lambe se safar mein bas ek hi gaam par paanv phisla tha, so aap ne use baraabar pakarh liya

Par main bahaut hi shukrguzaar hoon aap ka. Ek wo daur jise main takreeban bhool hi gaya tha, aap ne use yaad dila diya.

Bas, phir kya tha ... aaj dhool se sani ek puraanee diary nikaalee gayi, use saaf kar ke us ke shikstah pannon par dhundhlee si tehreer ko pardhne ki koshish kar raha hoon

Mere college (graduation) ka daur, jis ke baare mein aap ne sawaal poochha hai, wo 1993-96 ke dauraan tha.

Chaliye, us waqt ki kuchh ghazlein, nazmein, kavitaayein, geet main aap ke saamne rakhta jaaoonga, agle kuchh dinon mein.

In ko itne saalon ke baad phir se dekh kar ehsaas hota hai chaahein wo qalaam behr, qaafiya, radeef, bayaan, alfaaz mein behad kamzor the, par un ke ehsaas waise ke waise qalaam mein utar aaye the jis tarah dil ne mehsoos kiye the ... maasoom, jazbaatee, naazuk aur kachche Aaj ke maujooda waqt mein waisee maasoomiyat, waisee sachchaayee, waisee saadgee, koshish kar ke bhi qalaam mein laana shaayad mere bas mein naheen hai.

Ek baar phir se aap ka bahaut bahaut shukriya mujh ko time machine mein 20 saal peechhe bhejne ke liye


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 5th September 2014 at 12:55 AM..
   
Reply With Quote