View Single Post
Old
  (#30)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
5th September 2014, 03:14 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post


pehle to ye kahoonga ki SDC ka meri sheri zindagi mein itna barha aur aham yogdaan raha hai jis ko, na hi naapa ja sakta hai aur na hi tola ... jis ka na andaazaa lagaaya ja sakta hai aur na hi alfaaz mein bayaan kiya ja sakta hai.

SDC ne sahi maaynon mein meri aankhein khol deen theen. shaayari mein "behr" naam ki bhi koyee shai hoti hai, ye mujhe SDC mein hi jaanne ko mila.
shaayari ke aur bhi kayee saleeke SDC mein aane ke baad hi mehsoos huwe. saath mein jo hausla afzaayee, pyaar aur inspiration members se mila wo to hai hi. SDC mein aane ke baad hi mujhe ye ehsaas hua ki "asal mein main ab tak main sahi tarah sw shaayari hi naheen kar raha tha itne saal". SDC mein mera as a shaayar ek naya janm hua. SDC completely re-invented me as a Shaayar and a Shaayari lover. is ke liye mere dil mein SDC aur us ke members ke liye ek bahaut hi khaas jagah hai.

SDC ka safar, jo aur jitna main de dekha hai, use agar ek jumle mein describe karoon, to wo hoga, NASHEB-O-FARAAZ

SDC ke safar ko jaisa main ne dekha hai, waisa bayaan kar raha hoon. SDC ke aise kayee pehloo hain aur aisee kayee baatein hain jin ki jaankaaree mujhe naheen hai, so please see the below narrative as my individual experiences only and not as an exhaustive or authentic chronicle of SDC.

mota-moti, main 3 phases mein baantoonga SDC ka jo safar dekha hai wo ...

1.
sab se pehle jab main SDC par aaya to yahaan ek sher-o-sukhan ka mela sa laga paaya. yahaan har tarah ka fan rakhne waale, har style, har genre aur har stage ke shora saath saath shirkat karte the .... kayee senior shaayar, kayee mid-stage shaayar, kayee naye seekhne waale .... kayee classical styled aur kayee modern styles, kayee urdudaan aur kayee hindi-urdu mixed waale. par sab saath mil lar ek doosre ke qadrdaan the, sab ek doosre se seekhte-sikhaate, sawaal-jawaab karte,hausla afzaayee karte, lutf uthaate, guft-o-shaneed karte .. idhar kisi ka bhi ek qalaam post hua naheen ki comments ka ambaar sa lag jaata tha. saath hi bahaut alag alag tarah ki shaayari aatee rehti ... shayari-e-dard / ishq / sharaab ... sab sections roz nayee posts se khachaakhach bhare rehte.

agar is daur ko Majaaz ke sher ke zariye describe karoon to ..

noor hi noor hai kis simt uthaaooN aaNkheiN
husn hi husn hai ta-hadd-e-nazar aaj ki raat
- Majaaz

ek aur pehloo ye bhi tha ki senior shaayar naye seekhne waalon ki ya wo jo abhi mid-learning stage mein hain (mere jaise) un ki bahaut hi skillful, knowledgeable aur matured tareeke se rehnumaayee karte the, posts par bhi aur PM par bhi. jaise main ne kaha, mujhe khud us rehnumaayee ka bahaut faayda mila tha. us daur mein debates aur takraar bhi hote the, but most of them were based on shayari principle issues, and they were either resolved or members just moved along after some debate. kabhi kabhi kuchh mudde personal bhi ho jaate the, aisa naheen ki har cheez ideal thi us waqt. but nets net,*I will call this phase the Golden phase of SDC that I have seen.

2.
doosree phase jo main ne dekhee wo ye thi ki SDC ki volume of activity amd variety of activity bahaut hi kam ho gayee. qalaam ka bhi akaal aur comments ka bhi sookha agar Ghalib ke ek sher ke zariye describe karein to ...

hai ab is maamoore meiN qaht-e-gham-e-ulfat "asad"
hum ne ye maana ke dilli meiN raheiN khaaveNge kya
- Ghalib (Asad)

is daur mein kayee shoraa SDC se chale gaye. sab ki alag alag wajah rahi hogi, mujhe un wajahon ya circumstances ke baare mein naheen pata. jaane waalon mein se ek main bhi tha. mere jaane ki wajah had nothing to do with anything that was happening at SDC. meri wajah kuchh aur thi. jaisa main ke pehle zikr kiya tha, mujhe behr ke baare mein us waqt naya naya pata laga tha SDC par hi, aur main ne behr ko research aur seekhne ki practice shuru kar di. takreeban 6 months lage. I had to almost "re-learn" how to compose a sher. main ne khud ko phir se sikhaayaa sher kehna. aur phir jab dobaara SDC par aaya to yahan "qeht-e-gham-e-ulfat" paaya to meri waapasi bhi zyaada din ki naheen rahi, shirkat ka silsila kam hota gay, aur kam hote hote, ye silsila pooree tarah toot gaya.

3.
par nasheb ke baad faraaz aana hi tha. par ye yoon hi naheen aaya. pichhle kuchh waqt se kuchh committed members / moderators is koshish mein lage huwe the ki SDC ka golden phase phir se waapas laaya jaaye. bichhrhe doston ko milaaya jaaye. unhone puraane members ko contact karna shuru kiya aur nayee nayee activities start kareen, FB par promotions kiye wagairah wagairah.*

I think is beech mein naye members bhi aaye jinhone bhi ek nayee sans phonkee SDC par.

SDC mein dobaara aa kar main khushi se jhoom utha. kuchh kuchh pehle ki si ronak dikhaayee dene lagi thi. takreeban waisa hi maahaul banne laga tha. ek personal rapport sa banne laga kayee members ke saath. kayee members, jo mere liye naye the, un se interact karne laga aur ek gaarha rishta banne laga.. jo mere pehle ke saathee the, un se to pehle se hi rafaaqat thi, and I picked up the thread instantly. of course, some ups and downs may happen once in a while, koyee barhee baat naheen hai, aha baat ye hai ko wo resolve ho jaate hain. ek doosre ki hausla afzaayee karne ka aur seekhne sikhaane ka silsila bhi raftaar pakarhta huwa dikhaayee de raha hai.*

is daur ko dekhne par mere jazbaat Faiz ke alfaaz ke zariye bayaan ho sakte hain

aaj yooN mauj dar mauj gham tham gaya
is tarah gham-zadoN ko qaraar aa gaya
jaise khushbu-e-zulf-e-bahaar aa gayee
jaise paighaam-e-deedaar-e-yaar aa gaya
- Faiz

to ye tha, mere hisaab se, daastaan-e-SDC jo meri nazron ne dekhi aur jo mere dil ne mehsoos ki.*

mujhe pooree ummeed hai ki is present daur mein hum sab mil kar SDC ki shaan-o-shauqat ko pehle se kaheen aur aage barha denge aur hamari SDC arsh ko choomegi, ke phir "majboor" ho ke humein Ghalib ka ye sher kehna parhega

manzar ki bulandi par aur hum bana sakte
arsh se idhar hota kaash ke makaaN apna
- Ghalib

aap sab ko dheron duaon ke saath
Zarraa

Is pehlu ko tou pehle kabhi kisi ne is tarah se nahi socha hoga. ..aapki parkhi nazar aur soch ki daad deni hogi...




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote