View Single Post
Old
  (#31)
Harash Mahajan
MaiN Our Meri Tanhaayii
Harash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud of
 
Harash Mahajan's Avatar
 
Offline
Posts: 984
Join Date: Oct 2006
Location: Delhi
Rep Power: 31
30th June 2014, 06:54 PM

Quote:
Originally Posted by ufaq View Post
Muaafi talab janaab ...lekin aapke is is inner art aur physical act wali baat se main itefaaq nahi rakhta.......aap rafugar aur saudagar jaise alfaaz par kyaa kahenge.....rafu karna ya sauda karna koi androondi hunar nahi hai......dar asl is tarah ka koi tayshuda usool nahi hai ki kahaa'n par > gar < lagega aur kahaa'n par > kaar< ...ham Jo alfaaz bol rahe hai unka ijaad saikado saal pahle ho gayaa thaa...aur WO zabaan Ka hissa ban gaye hai...hame in alfaaz ko usii shakl me'n istemaal karna chaahiye jaise WO maqbool hai........
Ufaq sahab waah kya baat hai......bahut hi oomda jaankaari se nawaza hai aapne is lafz ke mutallaq...ye lafz hamaare liye shayri meiN istemaal karne ke liye ek damm naya hai.....iske istemaali lafz kya kya hone chahiyeN .... iske liye aap jaise Urdu-daanoN ki sakht zaroorat hoti hai.....hameiN umeed hi nahi yaqeen hai ki aapki inayat hamaare jaise taalib e ilm shaks par yuN hi bani rahegii....Aapke diye tapsire se is mutallaq hamaaraa jhukaav our bhi baRh gaya hai.....Kitni baareekii our kitnii Gehraayee our abhi baakii hai.....

aapki rai ka muntzir

Harash Mahajan
  Send a message via Yahoo to Harash Mahajan Send a message via MSN to Harash Mahajan  
Reply With Quote