View Single Post
Old
  (#570)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
14th August 2014, 10:25 AM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
lafz "azaab" par members ke apne kahe huwe aashaar

zindagi mukhtalif hai zindagi lajawaab hai
kisi k liye lutf e jannat to kisi k liye azaab hai
Ananthpak

jab dard e tanhai ne shiddat ikhtiyaar ki, main be-tahasha ro diya
jigar se khoon tapakta raha aur "hSn" mubtala e azaab hua
Hassan

zeher bhii pee looN gar tu pilaae laboN se
azaab me tere zindaaN tak chalooN
Aadeil

kamar se baandh ke khinchenge wo tere kafas ko
kise uthaanee hai azaab is sard murde baar ki
Aadeil

chaltee rahee ghadee kee tarah zindagee meree
bakee bache yahaan pe kuchh dam azaab ke
Aadeil

rukhsaar pe bosa na diya, tumne sharam meN
gar sharmo hayaa hai to, azaab kyuN ye bekaar looN
Aadeil

kis kis azaab se kaho guzra naheeN hooN maiN
ab tak teree panaah meiN aaya naheeN hooN maiN
Zarraa

humaiN baad e bahaari ka aadi bana kar
baad e hawaadis se milaate *kyuN ho?
taa umer saath nibhane ka ah.Ed tha!
roz naye azaab se milaatay kyuN ho?*
Hassan

kya sazaa doge kar rakheeN haiN jamaa
mastiyaaN har azaab meiN hum ne
Zarraa

Qafas udaas hai aayee sabaa na yaar aayaa,
bahot dino se to ham ko bhi naa qaraar aayaa.
tabiyat huii azaab ke kuch din se dostoN,
na theek hii hote hain naa *bukhaar aayaa
Shaad

Faraamosh khataaoN ko kis kadar karna?
Musaawee e azaab hai darguzar karna.
N@zneen

chashm e namm, jabr e musalsal, azaab e judai!
ishQ na kiya! hum ne apna khaana kharaab kiya!*
Hassan

ghuNghat meN chehraa, aaNkHoN pe pehraa
kaisaa azaab ye zaalim naqaab hai
Aadeil

rihaa huaa magar azaab maiN liye jiyaa karuuN
terii galii ko chhoR ke bhii ashq jo piya karuuN
Aadeil

azaab e ranj se burii azaab e naar to nahi
jalaa kare magar tere azaab e hijr meN hi hum
Aadeil

ulfat milii azaab milaa aur gham milaa
iis ruuh ko milaa bhii to qaid e qafas milii
Aadeil

kuchh bhi anjaam e ishq ho yaaroN
kuchh sawaab aur kuchh azaab hai ye
Zarraa

dair o haram ke paas meN jo e'tiqaad huva
har uun azaab e jaa.n se mai.n aur sa.ng zaad huva
Aadeil

woh haqeeqat na sahi saraab to hai
lamha ba lamha toot'ta azaab to hai*
phad raha hooN jese khiyaal ki tehreer!*
haath meiN mere ik kitaab to hai!
N@zneen and Hassan

sabhi members jinhone apne khoobsurat aashaar se nawaaza aur jinhone guftagu e sukhan mein shirkat kari ya pardha, un sab ka bahaut bahaut shukriya. aur khaas taur se kehna chaahoonga ki is baar Aadeil sahab ne poore 9 aashaar, jin mein lafz azaab ka istemaal tha, se bazm ko nawaaza hai - behad mashqoor hoon aap ka Aadeil sahab.
bahot khub............................



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote