View Single Post
Sant Ravidaas ji ki Anmol Padavali
Old
  (#1)
@kaash
Registered User
@kaash is a splendid one to behold@kaash is a splendid one to behold@kaash is a splendid one to behold@kaash is a splendid one to behold@kaash is a splendid one to behold@kaash is a splendid one to behold@kaash is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 249
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 22
Sant Ravidaas ji ki Anmol Padavali - 3rd May 2011, 03:23 PM

तेरा जन काहे कूं बोलै ,बोलि बोलि अपनी भगति षोले ॥

बोल बोलतां बढे वियाधि ,बोल अबोलें जाई ।

बोल बोल अबोल कौं पकड़े ,बोल बोल कूं षई ॥

बोलै बोल मानि परि बोलै,बोलै बेद बड़ाई ।

उरमां धरि धरि जबहिं बोलै ,तब ही मूल गवाईं ॥

बोलि बोलि औरही समुझावै,तब लग समझि नहीं रे भाई ।

बोलि बोलि समझि जब बूझी ,तब काल सहित सब षई ॥

बोलै गुरु अरु बोलै चेला ,बोल्या बोल की परमिति जाई ।

कहे 'रैदास ' थकित भयो जब ,तबहीं परम निधि पाई ॥


Yahan sant Ravidaas ji parmaatma ko sambodhit karte hue hain ki
hey parmaatma! jisne bhi tujhe jaan lia vo shaant ho jata hai.aakhir vo
vo bhala kyun jataye ki vo bhakt hai.aur phir bolne se to vikaar hi utpann hota hai.
bolne se hi bolne ka naash hota hai.
ve kahte hain ki yadi bolna hi hai to pehle aham bhaav ka tyaag dena chahiye..aham bhaav se rahit ho bolne ki vedon me bhi prashansa ki gayi hai.
Ravidaas ji kahte hain ki mann me kuch hai aur mukh me kuch hai to aisa bolna bhi parmaatm praapti me badhak hai.
Vakta jab doosron ko samjhane ke lie bolta hai to use khud ko hi kuch samajh nahi aata.Lekin jab bol ko vo swayam samajhta athwa apne hi bol par swayam chintan karta hai to badhayen door ho jati hain.
Ravidaas ji kahte hain ki guru shishya parmaatm tatva par paraspar vichaar vimarsh karte hain.aisa karke ve vaak prabhaav ko simit kar lete hain.lekin jab unka bol isthagit ho jata hai athwa vo maun ho jate hain tab parmaatma tatva ki uplabdhi me deri nahi lagti.


Quality is not an act,it is a habit.

Last edited by @kaash; 3rd May 2011 at 03:42 PM..
   
Reply With Quote