View Single Post
Old
  (#9)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
4th April 2009, 07:00 PM


List kaafi lambi le kee aaye tum Shaitaan... chalo ek ek karke koshish kart hun jawab dene ke...

1>> " Pyaar " kyaa maa'iine raKhta hai yeh lafz aapki ziNdagee meiN ?

PYAAR, kehne ko to yeh hindi ka shabd ek adhure shabd se banta hai, lekin is adhure shabd ke bina zindagi ke koi maayene nahi hote. Tum maanoge nahi, par yeh sach hai ki tumhare jiju ko milne se pehle main is shabd ko mazaak samjhti thi.. sochti thi aisi koi cheez nahi, aisa koi jazba nahi jiske liye main marne maarne pe aa sakun.... lekin main galat thi. jab pyaar ki hawa ne chua, to pata nahi itni shakti khud me kahan se paayi. Sankshep me bas itna hi kahungi ki pyar zindagi hai, aur pyar ke bina meri zindagi ke koi maayene nahi.


2>> bachpan meiN aap kyaa bannaa chaahte the?

Bachpan me main Doctor banna chaahti thi, lekin badi hoke science se nafrat ho gayi, aur computers se pyar


3>> Shaa'iiree se lagaav kis tarah huaa ?

Shayri ki abc bhi nahi aati thi mujhe, aur na hi shauk tha 10th standard tak. Phir ek din maine internet pe kuch shayri's padhi.. padh ke achi lagi. Poetry karti thi main pehle bhi but woh shayri nahi thi. 11th tak pohanchte pohanchte shayri apna gehra rang chhhod chuki thi mere dil pe, ki aise hi kuch likhne ki koshish ki... to woh koshish ab tak chal rahi hai. apni woh diaries abhi bhi sambhaal ke rakhi hai maine, aur college me pohanch ke to shayri.com se hi naata jud gaya...


4>> jijju ko jab aap Shaa'iiree sunaate haiN apni to uNkaa jawaab kya hotaa haii

Shuru shuru me to woh yakin hi nahi karte the ki maine likha hai.. phir mere kehne pe unhone meri diaries padhi, aur bahut khush hue... unhe shayri nahi aati, par jab bhi main unhe kuch bhi kehti hun to uska jawaab mujhe ek pyara sa gaana suna ke dete hain.. aur kahenge jhhalli itna pyar mat kiya kar mujhse.


5>> mujhe pataa hai aap ek bahot hi paDhaaku student huaa karte the.. par kabhee exam meiN chori-chhupe liKhaa haii kii nahiiN apne dostoN ki answer sheets meiN se

Nahi maine kabhi cheating nahi ki, infact main to humesha apne aas paas vaale bachon ko cheating karvaati thi. Mere aas paas itne intellegent bache hote the humesha ki agar kuch poochoongi to mere number zaroor kam aayenge. isliye yeh risk kabhi nahi liya. haan cheating karvate hue bhi meri heartbeat itni tez ho jaati thi ki kya bataaun. par luck acha tha, kabhi kisi teacher ne kuch nahi kaha.


6>> ko'ii aisaa kissa jise yaad kar ke aap aaj bhee bahot haNSte hoN wo jaannaa chaahuNgaa.

College me second year me, hume Software Engineering padhaane ke liye ek naye teacher aaye.. actually aaya.. he was just 24 yrs old, aur hum sab bhi 20 ke aas paas.. to use teacher kisne samjhna tha. Saari class ne milke uske liye pyari pyari baatein likhi board pe.. i mean cheap funny romantic type. aur maine uski funny pic bhi draw ki. jab woh class me aaya to hairaan pareshaan ho gaya, ki yeh sab kya hai.. lekin koi nahi bola ki kisne kiya, as everyone was involoved. bichara itna besharam hua, ki board rub karke class se chala gaya, aur agle din humne phir se chits banaayi.. aur uski pag pe land karvaayi.. chits khaali thi, kuch nahi likha tha. par woh itna pareshaan ho gaya humari class se ki bichare ne keh ke apna section hi change karva liya.. jab bhi kbahi corridoors me mil jaate to uski aankhein neechi ho jaati... heheheeeee


7>> ziNdagee meiN Gar kisi moD par hum Khud ko kamzor mehsoos kareN to hame kyaa karnaa chaahiYe?

Zindagi me agar kabhi bhi khud ko kamzor mehsoos karte ho, to sabse pehle aise koi mushkil haalaat yaad karo jinme se tum ubhar ke aaye ho, aur apne aap ko himmat aur housla dono do, ki yeh dukh ke baadal chhat jaayenge, aur khushi ka sooraj phir chamkega. U have to be very optimistic in life. maayoos hone se guzaara nahi, agar problem hai to uska solution bhi zaroor hoga, bas milne ki baat reh jaati hai.

8>> filhaal ke liye aaKhiri sawaal KhaaS aapke liye Guru Jee

iNdia ki colgate meiN aur videSh kii colgate meiN kya farQ haii


Yeh sawaal to mere mann me kabse ghoom raha tha, ki jab bhi nanha shaitaan aayega yeh question zaroor karega.. Fark to kuch bhi nahi hai, fark to daanton ki chamak me hai jo mere humesha safed aur chamakte rahenge, aur tumhara humesha hi yellow yellow dirty fellow rahenge.. hehehhee


Chalo sab ke answers ho gaye.. uff.. kitna kaam karvaate ho tum Dhaval.

Take Care...
~Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote