Thread: Maa
View Single Post
Old
  (#9)
hasrat
Registered User
hasrat has a spectacular aura abouthasrat has a spectacular aura about
 
hasrat's Avatar
 
Offline
Posts: 155
Join Date: Nov 2009
Rep Power: 16
1st December 2009, 10:50 AM

Quote:
Originally Posted by vikramjethi View Post
Aankh abhi na khuli thi meri
khoya that maiN ik dhaval andhere meiN
Khud se hi maiN puch raha tha
Pehchaan apni maiN dhoond raha tha
MaiN hooN toh to Phir yeh 'maiN' kya hai
Tu hai to bhi phir yeh 'maiN' kya hai
Tabhi laga aisa mujhko jaise chooma liya kisi ne mere patal ko
EhsaasoN ke abhi shabd kahaN haiN baaton meiN mujhse tu phir bhi hai gum
Pehla ehsaas jab shabd bana
Toh MAA ka naam mila usko
Tab jaakar yeh pata chala ki
MaiN toh hooN ik ansh ussi ka
Seench rahi hai jo mujhe apne lahoo se
Milvaane ko mujhe apne hi vuju se
Ab tak tha jo dhaval andhera
Meri pehli subh meiN voh tabdeel hua
MAA re meri mujhe yeh toh bata
Kya rin se tere maiN Kabhi chhut sakuNga
Lahoo tera jo daud raha meri ragoN meiN
Kya Lahoo ka tere mol Kabhi maiN de paonGa
Tu toh hai mamta ki ik murat
Bholi si hai teri surat
Ehsaan tera yeh hai mujh par
Ke chhaoN mili mujhe tere aanchal ki
Varna maiN toh ik banjaara tha
Daal basera Kabhi iss pag kabhi uss pag par
Tune mujhko rok liya hai
Har armaaN tera mujh pe tika hai
Kya maiN unn armaanooN ka hisaab tujhe kabhi de paoNga.........
Bhaut khub vikram ji wakai me aapne dil se likha hai ........ or ye hamare dil tak pahuch gayi......


(๏̯͡๏) (๏̯͡๏)

Hasratein dilo ki chupaye nahi chupti hai,
dard juba par bankar bayan sab karti hai.....

*****************************
Dard ki mehfil me ek sher hum bhi aarz kiya karte hai..
Na kisi se marham Na duaon ki Ummed kiya karte hai..
kayi chehre lekar log yaha jiya karte hai.......
hum in aasunao ko ek chehre ke liye peeya karte hai....
   
Reply With Quote