View Single Post
Old
  (#856)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
30th August 2014, 04:20 PM

Quote:
Originally Posted by N@zneen View Post
Waaaaahhhh! behad umdaa zarraji misra-e-saani is a jolt, bahot mubarakbaad is aala tareen sher keliye aur dheron dheron daad

Apki sher behad complicated hai zarraji i am translating it pls do correct me if i am wrong

You just go on making me drunkard only with the measurement of wine(sarcasm)
Dont measure extent of my sorrow with every measurement of wine

Is my translation correct zarraji? Ur sher is very complicated meri samajh meiN thikse aya ya nahiN can u pls explain ur sher zarraji taaki chupi hui khoobsurti ko puri tarah samajh sakun only if u dnt mind



N@zneen ji ... aadaab .... is sher mein itni dilchaspi dikhaane ke liye shukriya. Aap ne jis dariyadili se daad ata farmaayee hai us ka tah e dil se mashqoor hoon !!

pehle main aap ko daad dean chaahoonga aap ke interpretation par .... wo kyoon, is peeche ka afsaaana neeche dekhiye

sirf kar paimaaish-e-baada hi is se rind tu
wus'at-e-gham naap mat ek-ek paimaane ke baad

- zarraa

is sher ke 2 kism ke maaynee mere zehn mein the ....

1. yahaan assumption hai ki ek hi shakhs sharaab pi raha hai, jis ko rind kaha gaya hai. us se ye kaha ja raha hai ki paimaane ko baada ki paimaaish ke liye hi istemaal kar .. yaani measure kar ke aur peene ke liye ... har paimaane ke baad apne ghamon ki had mat naap, sharaab pee kar apne ghamon ko yaad mat kar, unhein naap mat, kyunki sharaab pee kar gham aur barhe lagte hain, zakhm hare ho jaate hain wagairah wagairah.

yahaan "paimaaish"' "paimaana", "wus'at" aur "naap" se wordplay banaane ki koshish ki gayee thi.

2. yahaan assumotion hai ki 2 log sharaab pi rahe hain, ek jise rind kaha gaya hai aur doosra shayar jis ka zikr ayaan naheen hai bas us ko imagine ki karna hoga is interpretation ke tahat . is mein ye kehne ki koshish hai ki ai rind paimaane ka kaam sirf baada ki paimaaish hai. tu mere gham ka andaaza is baat se mat laga ki main kitni sharaab pi raha hoon. aur sharaab mein dhutt hone ki haalat mein mere ghamon ki daastaan mujh se ugalwaane ki koshish mat kar.

yahaan bhi similar word play ki koshish thi, yaani "paimaaish"' "paimaana", "wus'at" aur "naap".

mere hisaab se, is sher mein 1st maani zyaada khula hai aur 2nd maani thorha indirect hai. yaqeen maaniye, main ne in donon mein se kis ko main maani banaaoon aur kis ko nihaan rehne doon, is par barhi der tak soch vichaar kiya tha. main ne sher ke ek aur version mein oola ke aakhiri 2 lafz "rind tu" ki jagah "saaqiya" bhi kaha tha, kyunki mujhe laga ki lafz "saaqiya" 2nd maani ke saath zyaada insaaf karega, magar us se 1st maani ki soorat pooree tarah khatm ho ja rahi thi. phir aakhir mein "rind tu" waala hi version rakkha ki donon maaniyon ka imkaan zinda rahe

main ne daad aap ko is liye di ki aap ne jo maani pinhaan tha tha, use dhoondh nikaala hai. shayar ke dil ko is se zyaada khushi aur kya hogi. aur*ye is baat ka bhi ishaara hai ki aap mein shayari ko samajhne ki aur maani ki rooh tak pahunchne ka hunar maujood hai.

chaliye, kaafi waqt le liya aap ka. ek baar phir aap ko shukriya, aur daad bhi *

duaon ke saath
Zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote