View Single Post
Old
  (#6)
Praneeta
~"REBELLIOUS IN LOVE"~
Praneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Praneeta's Avatar
 
Offline
Posts: 3,264
Join Date: Feb 2008
Location: Ruatonga, Cook Islands
Rep Power: 52
Love 1st August 2011, 04:16 PM

Quote:
Originally Posted by naresh_mehra110 View Post
Praneeta Ji !
Namaste ... !!

Aapka Yahaa Dil Se Swaaghat Hai ... Aur KahiN Behad Khushi Bhi ... ! Aaj Jab FB Par Subha Aapse Baat Cheet Ho Rahi Thii ... Tab Gumaan Bhi Nahi Thaa Mujhe Ki ... AaJ Se Aapka Interview Shuru Ho Raha Hai ... !

Vaise Toh Bahut Kuch Aapke Baare MeN Hum Jaante Hi HaiN ... Par Sab Kuch Nahi ... Jo Nahi Jaante ... Woh Ab Aapke ShabdoN Ke Zariye ... Yahaa PaDh Paayenge ... Itni Ummeed Toh Rakh Hi Sakte HaiN ... !

YuuN Aapki Shayri Ka Dard Hum Aksar Sehate Aaye HaiN ... Reply Ke Maraham Bhi Kitne Istemaal Kiye ... Lekin Aapki Shayri Kaa Dard Kam Nahi Huaa .. Balki Pehle Se Aur BaDhtaa Hi Chalaa Gayaa ... !

Aaj Se Aapka Interview Shuru Ho Raha Hai ... Aashaa Hai ... Kuch Dard Kam Zaroor Hogaa ... In Sammbhaavnaao Ke Saath Abhi Ke Liye Vishraam Letaa Hoon ... !

Aage Milte HaiN ... Kuch SawaaloN Ke Saath ... !

Ishwar Aapke Iss Interview Ko Kaamiyaab Banaaye ... Aur Yahaa Hum Dosto Ke Saath Aapka Acche Se Waqt Guzregaa .... !!

Sadaa Khush RaheN ... !
Apnaa Theek Se Khayaal RakheN ... !
DuaaoN Ke Saath ... !
Naresh ji
Namaste...

aap ke is warm welcome ke liye bahot bahot shukriya...ji haa aaj subha FB par baat cheen toh ki hum ne par maine apni is interview ke baare mein mention karna thik nahi samjha...mujhe laga jaha ki baat wahi ki jaye toh bahetar hai...mujhe vishwaas tha ki aap zarur yaha ayenge toh fir pahele se bata kar surprise spoil nahi karna chahti thi...hope you are pleasantly surprised that is if you are surprised at all

ji haa aap beshak mere baare mein jo janna chahte hai poonch sakte hai aur meri koshish rahegi ki jald se jald jawab dun aap ko

main maafi chahti hun aap se aur sabhi doston se jinhe meri shayri ki wajah se koi bhi taqleef hui ho...mujhe pata hai maine har baar apne dard se aap logon ko bhi dard pahuchaya hai...dil se maafi chahungi par kya karun...dard ki wajah se hi meri shayri hai...dard khatam toh shayri khatam. zindagi mein itne hadse hue hai ki ab dard mein jeene ki adat ho gayi hai...kabhi suna tha maine...dard hota hai dard jab chubhta nahi... mera dard bhi pyar ki tarah hai jo kabhi kam nahi hoga...

mujhe intezaar rahega aap ke sawaalon ka...aap bhi apna kahayal rakhe
shukriya ek baar fir se

Regards


_______________________________________________
PRANEETA

Kaash k khamoshi bhi ek zabaaN hoti
Main dekta rehta unhe aur haal-e-dil bayaaN hota
Ananthpak
  Send a message via Yahoo to Praneeta Send a message via Skype™ to Praneeta 
Reply With Quote