View Single Post
Old
  (#3)
sabaa kiyani
Registered User
sabaa kiyani will become famous soon enoughsabaa kiyani will become famous soon enough
 
sabaa kiyani's Avatar
 
Offline
Posts: 455
Join Date: May 2015
Rep Power: 11
Thumbs up 26th September 2016, 01:45 PM


Buhet buhet achi ghazal sab asaar buhet hi achey hai
Vaahvaah buhet umda


Quote:
Originally Posted by Mujahid Ali View Post
Ehel-e-junooN ehel-e-wafa yaad tumhe kuch bhi nahi;
Mausam-e-gul baad-e-saba yaad tumhe kuch bhi nahi;

Phool jo khilte thai kabhi bagh-e-mohabbat mai sanam;
Gulshan-e-pur-kaif fiza yaad tumhe kuch bhi nahi;

Terey mohabbat mai jo sar-zad huee thi ghaflatey bhi;
Huee namazey jo qaza yaad tumhe kuch bhi nahi;

Tanha mujhe chor'h ke ghairo ki panaaho mai ho tum;
Meri wafaao ka sila yaad tumhe kuch bhi nahi;

Abd-e-mohabbat ka ehed tumne kiya tha labo se;
Ab kaho voh qasm-e-khuda yaad tumhe kuch bhi nahi;

Dard mai tera voh tad'apna mujhe toh yaad hai sab;
Aye be-wafa dast-e-shifa yaad tumhe kuch bhi nahi;

Hota na dil ko terey taskeen mujhe dekhey bina;
Tum hi kaho kya voh ada yaad tumhe kuch bhi nahi;

Keh dou kaha reh gayi thi jazb-e-mujahid mai kami;
Jo uthey thai dast-e-dua yaad tumhe kuch bhi nahi;


FEW MEANINGS

Gulshan-e-pur-kaif fiza= intoxicating atmosphere of the garden
Ghaflatey= negligence/carelessness
Sar-zad= committed
Qaza= delayed
Abd-e-mohabbat= eternal love
Ehed= promise
Dast-e-shifa= healing hands
Taskeen= consolation/relief
Dast-e-dua= hands raised in prayer


sabaa kiyani
   
Reply With Quote