View Single Post
Old
  (#39)
Parwaazz
Aazaad Panchi
Parwaazz is just really niceParwaazz is just really niceParwaazz is just really niceParwaazz is just really nice
 
Parwaazz's Avatar
 
Offline
Posts: 312
Join Date: May 2010
Location: SKY
Rep Power: 17
19th June 2010, 01:36 AM

After one year of reciting Shakwa Iqbal presented Jawab-i Shakwa in a huge gathering in 1913 at a famous public place Outside Mochi Gate of Lahore City. Jawab-I Shakwa contains 36 stanzas of six lines or verses each. This thrilling poem in a way was a call from God rather than a reply to Iqbal’s complaint. It added fire to the already boiling blood of the nation after Iqbal’s Shakwa, as a result of the Indian Muslims arose with a new life filled with enthusiasm, courage and a determination to change their fate. Inspired by Iqbal’s songs they were united, fought the war of independence and achieved victory. Once again the Muslims of India were a free nation and masters of their own destiny living in an independent country called Pakistan, the new Muslim State appeared on the world map on the 14th of. August 1947.

The revelation of Jawab-I Shakwa and its compilation took a long time of over one year. In this poem a comprehensive reply to Iqbal’s complaint to Allah is given This poem contains 36 stanzas out of which I have selected nine stanzas which are quoted hereunder together with their English translation;
At the outset Allah says,




Ham to mayal ba karam hain koi saail hi naeein
Rah dikhlaeen kisay rahrav-i manzil hi naheen.
Tarbiat aam to hai johar-i qabil hi naheen
Jis say taamir ho adam ke ye wo gil hi naheen
Koi qabil ho to ham shan-i kai detay hain
Dhoodnay walay ko dunya bhi nayi detay hain.

Wo bhi din thay ke yihi maayai raanaa-i thaa
Naazish-i mausami gul laala-i Sahra-i tha
Jo musalman tha allah ka shaida-i tha
Kabhi mahboob tumhara yihi harjai tha
Kisi yakjai sey ab ahd-i ghulaami karlo
Millat-i Ahmad-i Mursil ko Moqami karlo


Safah-i dahr sey baatil ko mitaya kisne
Nau-i insaan ko ghulami sey churaya kisne
Merey kaabae ko jabeenon sey basaaya kisne
Merey Qur’an ko seenon sey lagaya kisne
Thay to aaba wo tumharay hi magar tum kiya ho
Hath par hath dharay muntazir-i farda ho


Kiya kaha bahri musalman hai faqat waadai hoor
Shakwa beja bhi karay koi to laazim hai shaoor
Adl hai faatir-i hasti ka azal sey dastoor
Muslim aaeen hua kfir to milay hoor-o qasoor
Tum men hooron ka koi chahnay wala hi naheen
Jawai toor to maujood hai Moosa hi naheen


Ummateen gulshan-i hasti men samar cheeda bhi hain
Aur mahroom-i samar bhi hain khizan deeda bhi hain
Sankron Nakhl hain kaheeda bhi’ baleeda bhi hain
Sankron batn-i chaman men abhi poshida bhi hain
Nakhl-i Islam namuna hai bromandi ka
Phal hai ye sankron saddiyun ki chaman bandi ka.


Pak hai gard-i watan say sar-i daman tera
Too wo Yusuf hai ke har misr hai kanaan tera
Qafla ho na sakega kabhi veran tera
Ghair yek bang-i dara kuch naheen saman tera
Nakhl-i shamasti-o dar shola dawad resha-i to
Aaqibat soz bawad saya-i andesha-i to


Misl-i boo qaid haye ghunche men pareeshan hoja
Rakht bar dosh hawa-i chmanistaan hoja
Hai tunak maya to zarrey say biyabaan hoja
Naghma-i Mauj say hangaama-i toofaan hoja
Quwwat-i Ishq sey her past koi balaa kardey
Dhr men ism-i Muhammad sey Ujala krdey

Ho na ye phool to bulbul ka tarannum bhi na ho
Chaman-i dhr men kalyun ka tabassum bhi na ho
Ye na saqi ho to phir mai bhi na ho khum bhi na ho
Bazm-i tawhid bhi dunya bh na ho tum bhi na ho
Khema aflaak ka istada isi naam se hai
Nabz-i hasti taphis aamada isi nam sey hai


Aql hai teri sipar ish a shamsheer teri
Merey darvesh khilafat hai jehangir teri
Ma siwallah ke lia aag hai takbeer teri
Too Musalman ho to taqdir hai tadbir teri
Ki Muhammad se wafa toonay to ham teray hain
Ye jahan cheez hai kiya lauho qalam tere hain



Faisle taqdeer ke lakeere badal nahi sakti
Eh insaan teri uske aage hargiz chal nahi sakti

Aaj tu zameen par hai kal zameen mein hoga
Maut tujhe aani hai har roz tal nahi sakti

   
Reply With Quote