Thread: Benaam Rishte
View Single Post
Old
  (#172)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
1st April 2015, 02:30 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
Adaab shaad jee..
Aapki is kahani par kuch din pahle hee nazar padi meri..pahle to bahut shukriya ki ise samne laaye aap..aur hame padhne ka mauka mila....
Mujhe ummeed nhi thi ki 2 saal se zyada lage aapko jis kahani ko likhne me lage use main in 3-4 dino me padh loongi...
Par aapki kahani ne aise bandha mujhe ki bas fir nazar hee nahi hata saki..
Shuruaat bahut achchi rahi...
Fir jaise jaise aage badhi aur bhi dilchasp hoti gayi kahani..abba ka kadakpan amma ka pyaar..bhai bahano ki nokjhonk sab lazmi hai..
Aur mukhtaar ke nature me vaqt ke sath jo parivartan aaye vo bahut achche lage..ek ziddi ladke se zimmedaar pita banne tak ka safar bahut dilchasp raha..
Readers ki sympathy use zaroor milegi..
Kirdaaron ko bahut hee dilchasp andaz me introduce karaya aapne sab ke sab ankhon ke samne dikhayi dete hain.....khaskar ladkiyon ke kirdaar sabhi bade pyaare hain..unke naamon ki tarah..
Farha ke jane se thodi mayoosi huyi mujhe..par kahani ki maang thi to...
Fir kahani ko badi khoobsoorti se aage badhaya aapne...kahkeshan ka india aana aur vapas jana.. kahani ko nayi disha deta hai aur akhir me ek achche end pe le jata hai......
Kahaani mere dil ko chhoo lene me kammyaab huyi...meri ankhon me ansoo chalak padhe akhir me..aur muskaan bhi sath hee sath aa gayi chehre par..........
Muhabbat aur insaniyat ke rishon ko dikhati ye kahani...apne sheershak ko bakhoobi bayaan karti hai...aur aisa bilkul nahi lagta ki aapki ye pahli koshish hai...aapki mehnat aur lagan saaf jhalak rahi hai isame...
shayad jitni khushi hasil huyi ise padhkar use
Bayaan nahi kar pa rHi main.bahut sari tareef ke hakdaar hain aap....aapki gazalon ke sath sath..kahaniyon ke bhi fan ho gaye ham to......bas dil se dher saaaaaari mubaarak baad aapko is dilchasp kahani ke liye...
Bas dil se yahi duayein hain ki aap din par din aur achcha likhein..logon ko entertain karein..
Khush rahein....


Aadarneey Madhu ji ko meraa saprem namaskaar...........

kissii ne sahii kahaa hai ke Madhu ko ye hunar aata hai ke wo saalon puraanii dhool khaatii hui rachnaaon ko saamne laakar nayaa jeewan detii hain....

aur jis tarah aapne is baar meri is kahaani ke saath insaaf kiyaa hai main dil se aabhaar wyakt kartaa hoon aapka..... main to shaayad bhool hi gayaa thaa is khaanii ko aur iske kirdaaron ko, magar aapki nazron ne inhe ek baar fir merii aankhon ke saamne laa kar khadaa kar diyaa..... Sach bahot hi gahre utar kar inko dhundne ki koshish ki thi maine, aur shaayad abhi tak ka sabse zyaada waqt maine isi rachna ko diyaa hai.. aur shaayd isi liye ye mere dil ke sabse khaas bhii hai.... aapka tahe dil se mashkoor hoon ke aapne inhe wo tavajjoh dii jiske wo haqdaar hain.....

aapka khat bayaan kar rahaa hai ke aap har shakhs ke andar doob kar unke ehsaason ko samajh paain aur unke baare me jo mashwaraa diyaa hai wo yaqeenan kaabile tareef hai...... aur beshaq Mukhtaar is kahaanii ka center point hai jiske ird gird kahaani ghoomtii rahii hai...... sach kahun to mujhe bhi us shaksh se khaasaa lagaaw rahaa hai........

ummeed karta hun jald hi aap sab ke saamne fir haazir houngaa kisii aur koshish ke saath.... jo aap sab ko pasand aayegii aisi main kaamnaa kartaa hoon.....
aur sabkaa behad shukriyaa jinhone isko likhne ke waqt aur likhne ke baad meraa saath diyaa kadam kadam par........ aur sabse badeee baat mujh pe bharosaa kiyaa.........

aap sab ke saath aur pyaar ki tamanna karte hue filhaal ijaazat letaa hoon.... aur Madhu ji ko fir se ek baar dhnaywaad detaa hoon, unke support ke liye....

khush rahiye....

Shaad.......


Shaad...
   
Reply With Quote