View Single Post
Waah
Old
  (#8)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Waah - 9th January 2016, 07:14 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
kaNdhey pe zaraa haaTh dharo maiN nashe meiN hooN
maikash do kadam saath chalo maiN nashe meiN hooN




phir aaiinoN se "maikash" nazreN churaa ke roye
tujhe aazmaane waale tujhe aazmaa ke roye

muqeem ik chiraaGh e hasrat do diloN ke darmiyaaN tha
maiN jalaa jalaa ke roya voh bhujhaa bhujhaa ke roye

meri aah ko ataa kar voh balaa ka dard ya rab
mere Gham pe haNsne waala mere paas aa ke roye

aashnaayi apni Gham se is darjaa ba-wafaa thi
kabhi mil gayi khushi to bahaana banaa ke roye

phir saath aa gaya hai yeh zehan ka khalall saaqi
kuch de’r is ko keh de kahiiN aur jaa ke roye

maqta maiN paDh ke thehruuN, kuch aisa mojezaa* ho
hoNThoN meiN voh sitamgar dupatta dabaa ke roye

mojezaa* = karishma

is haal meiN haiN lauTe kuu-e-yaar* se ai “maikash”
jo liye KhaDe the paTThar voh galey lagaa ke roye

kuu-e-yaar* = yaar ki gali

Wah Wah Maikash Bhai

Kya khoob Ghazal kahi hai aapne. Meri daad iss sher ki shakl meiN pesh hai. Qubuul farmaayen.

Maikash tere kalaam ke qayal to yuN bhi hum haiN
Ik ek sher padh ke hum muskuraa ke roye


Aur ye sher yaani maqta KhususaN kamaal laga.

is haal meiN haiN lauTe kuu-e-yaar* se ai “maikash”
jo liye KhaDe the paTThar voh galey lagaa ke roye

Khaksaar
Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote