View Single Post
Old
  (#13)
Harash Mahajan
MaiN Our Meri Tanhaayii
Harash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud of
 
Harash Mahajan's Avatar
 
Offline
Posts: 984
Join Date: Oct 2006
Location: Delhi
Rep Power: 31
30th June 2014, 08:16 AM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
Wah wah wah Harash Mahajan ji ... kya khoobsurat sher kaha hai aap ne ... very intricate and intriguing ... janaab fusoon par kahe is sher ka apna hi ek fusoon hai !! Bahaut khoob !!

Aap ke sher ke zariye se lafz fusoon par kuchh baat cheet ho jaaye ...

Jahaan tak maiN aap ke sher ko samajh paaya hooN ...

misra-e-oola meiN aap ne dil ke dareeche se sab kuchh chura lene ka zikr kiya hai jise misra-e-saanee meiN fusoon-gari ka darja diya hai ... wwwwaaahhhh, mujhe bahaut achcha ye interpretation

misra-e-saani meiN aap ne mitne aur lakeeron ki tarqeeb jo istemaal ki hai wo bhi mujhe bahaut khoobsurat lagi

bas do sawaal zehen meiN aaye hain, as food for thought ... seekhne ke iraade se arz kar raha hooN... agar aap khulaasa kar sakein to meherbaanee hogi, ya koyee bhi member apni raay se nawaze to inaayat ...

1. "act of doing magic" describe karne ke liye fusoon-gari ya fusoon-kaari meiN kaun sa jumla zyada munaasib rahega ?ya donon hi sahi hain ? sure naheen hooN is liye samajhna chaahta hooN.

2. fusoon ke mutalliq "mitne" ka verb kya munaasib hai ? Fusoon ko toot'te hue suna hai. Lekin kyunki ye thoda uncommon word hai is liye is ke saath kaun se verbs use hone appropriate hain, is ka mujhe ilm naheen hai. Any views ?

chaliye sahab,*aap ki badaulat is lafz ke kuchh khoobsurat pehloo saamne aaye aur kuchh curiosity aur badhi ....*

bahaut bahaut shukriya aap ka Harash ji aur khoobsurat sher par ek baar phir se daad !!

duaon ke saath

Zarraa
zarraa ji aapki muhabbatoN ke liye tah-e-dil se mashkoor-o-mamnoon hooN....KhayaaloN ko bulandi dena aap khoob jaante haiN ....khaaksaar kii ek adnaa sii peshkash par aapki pasandagi mere khyaaloN ko roushan kar gayii jiske liye maiN beintaha aabhaari hooN....
Zarra sahab jahaN tak Urdu ke ilm ka sawaal hai maiN shayad yahaaN sabse kamtar hi huN.......sirf kaanoN par padne waale shabdoN ke siwa shayad hi kabhi ajnabhi shabd istemaal kiye hoN.....our aise shabd jinke liye readers ko dictionary ka istemaal karna pade....abhi tak bahut kam kiya hai....ab aap jaise shou'ra ke zariye sach meiN urdu ke shabdoN ka istemaal shayd kuchh baRh jaaye.....
naye likhne walo ki fehrist meiN hamara naam zaroor likh leejiyega....jinke lie ye baat bahut aham hai ki ham koshish toh karen ye hamari khushnaseebi hai ki group me aap jaise (wo log jinhone ye thread shuru kiya) mashoor-o-maroof shayar hamare sath hain so hameiN agar qata'at aur muktakon ya rubai ki koi bhi baareeki sikhni hai ya koi mashwara lena hai to ham yahaaN salah le sakte hain.

Zarra sahab......ye lafz "fasooN-gari" is liye kiya kyuN ki ismeiN inner act or art(ilm) hai .jaise jadu-gari, kaari-gari, ...physical art nahiN... other words jo physical act se hote haiN unmeiN "kaari" lafz istemaal hota hai jaise adaa-kaari, meena-kaari etc..., but actual meiN kya hai aap Urdu-daan log ziyaada achhe tareeke se bataa sakte haiN....Maie to ye lafzi istemaal ke tareeke se hi isey istemaal kiya hai.....
Is lafz ke mutallaq maiN pahli dafa hi jaan paa raha huN.... 100% mere ilm meiN izafa hone wala hai....

Shukriyaa ek baar phir

Saabhaar

Harash Mahajan
  Send a message via Yahoo to Harash Mahajan Send a message via MSN to Harash Mahajan  
Reply With Quote