View Single Post
Old
  (#26)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
30th June 2014, 12:19 PM

Quote:
Originally Posted by ufaq View Post
Muaafi talab janaab ...lekin aapke is is inner art aur physical act wali baat se main itefaaq nahi rakhta.......aap rafugar aur saudagar jaise alfaaz par kyaa kahenge.....rafu karna ya sauda karna koi androondi hunar nahi hai......dar asl is tarah ka koi tayshuda usool nahi hai ki kahaa'n par > gar < lagega aur kahaa'n par > kaar< ...ham Jo alfaaz bol rahe hai unka ijaad saikado saal pahle ho gayaa thaa...aur WO zabaan Ka hissa ban gaye hai...hame in alfaaz ko usii shakl me'n istemaal karna chaahiye jaise WO maqbool hai........
Waah Ufaq sahab. Aapne ek alag nazariya pesh kar ke guftagoo ko aur bhi dilchasp bana diya hai aur seekhne ka daayra aur bhi badha diya hai. Waise aap ki logic bhi solid hai. Shukriya janaab.

To agar aap ki theory ke lens se dekhein, i.e ki lafz ke istemaal ka chalan pehle se hi mukarrar hai, to aap ke hisaab se Harash sahab ke is khoobsurat sher mein fusoon ke mutalliq kaun sa jumla sab se zyada munaasib rahega.

Harash sahab, main sirf seekhne ke lihaaz se aap ke umdah sher ko seekhne ka zariya bana raha hoon. Hope you don't mind.


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote