View Single Post
Anokhi waza hai saare zamaane se niraale hain, ye aashiq kaun si basti ke yaa rab reh
Old
  (#1)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
Anokhi waza hai saare zamaane se niraale hain, ye aashiq kaun si basti ke yaa rab reh - 4th March 2016, 01:55 PM

Anokhi waza hai saare zamaane se niraale hain,
ye aashiq kaun si basti ke yaa rab rehne waale hain.

Ilaaj-e-dard mein bhi dard ki lazzat pe marta hun,
jo the chaalon mein kaante nok-e-sozan se nikaale hain.

Phalaa-phoola rahe yaa rab chaman meri umeedon ka,
jigar ka khoon de de kar ye boote hum ne paale hain.

Rulaati hai mujhe raaton ko khaamoshi sitaaron ki,
niraala ishq hai mera niraale mere naale hain.

Na poochho mujh se lazzat khaanamaan-barbaad rehne ki,
nasheman sainkadon maine bana kar phoonk daale hain.

Umeed-e-hoor ne sab kuchh seekha rakha hai waaiz ko,
ye hazrat dekhne mein seedhe-saadhe bhole-bhaale hain.

Mere ashaar aey ‘iqbal’ kyon pyaare na hon mujh ko,
mere toote hue dil ke ye dard-angez naale hain. !!

Allama Iqbal



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote