View Single Post
Old
  (#28)
prasad.kulkarni
Bangalore
prasad.kulkarni will become famous soon enoughprasad.kulkarni will become famous soon enough
 
prasad.kulkarni's Avatar
 
Offline
Posts: 76
Join Date: Jul 2008
Location: Bangalore
Rep Power: 17
26th July 2008, 03:58 PM

Quote:
Originally Posted by tishna View Post
prasad ji thanks a lot
dard-e-zabaani bhool zara dil se sada laga

sada yaani awaaz
ab yahan dil se sada laga ka matlab hai
jab hum kisi ko pyaar karte hain izhaar karne mein jhijhakte hain darte hain
ki kahin sab khatam na ho jaaye
but agar us ke dil mein bhi kuch ho to hamaari baat ko samjh sakti hai yaa sakta hai

bade bade shayar likhte hain ki agar do log raazi hain but izhaar na hua hai to shuruwaat mein un ke dil ek doosre se izhaar kar lete hain
aur yeh shayad sahi bhi hai jab hamaara dil yaa dimaag kisi cheez ko samajhta hai usi ke baad zabaan se iqraar karta hai ki koi cheez acchi hai kharaab hai

bas yehi express karna chaha hai ki pehle dil se dil ko samjha baad mein zabaan se kehna

hope aap ko ab koi doubts nahi honge

aur haan aap ek baat note kijiye main apni gazal mein (dard) word baar baar use karta hoon but dard ka matlab takleef har baar nahi zyaada tar mere dard ka matlab hota hai ehsaas kyunki dard aur khushi dono ehsaas hi to hain
jaise apni indians maan mein hota hai khushi ke aansu

aap ko ek sher bhi pesh karta hoon ismein bhi doubts hon to pooch len plz

MILA HAI SABR AUR TANHAAIYON KE DAUR
JAHAN KHUSHI KA HAI JASHN WAHAN HAI GAM KITNA

main bhi koi khaas urdu nahi jaanta bas koshish karta hoon
aap bhi kijiye aur ho sake to aap meer taqi meer ke kalaam refer kijiye
is se aap ko tehreer banane mein bahot hi khaas tareeke milenge

zyaada typical urdu aana zaroori nahi hai zaroori hai
lafzon ki dhun ko samajhna aur un ko un ki sahi jagah pe naqsh karna

app aur kuch bhi poochna chahte hain to bila jhijhak pooch sakte hain
aap ka yeh adna dost waqt bewaqt aap ke kuch kaam aa jaaye

Aapkaa bahut bahut shukriyaa, dost! Mere ek sawaal ke jawaab keliye aapane waqt nikaalaa aur itani achchi-achchi baate.N bhi ki to mujhe behad Khushii hu_ii. Aapkaa samkhaane kaa tariiqaa bhi mujhe pasand aayaa.

Abhi abhi mai.N ne apani ek Ghazal ko pesh ki "Aapki Shayri" forum me.N. Mujhe aur bhi bahut Khushi hogi agar aap uske baare me.N kuchh liKh de.Nge to. Mujhe taariif kaa shauq zyaadaa nahi.N hai to aapko meri uss naa-qaabil-e-taariif Ghazal ki ko_ii taariif karne ki zaruurat nahi.N hogi. Aap bas meri apani Ghalatiyo.N ko samajh ne me.N meri madat kare.N taaqi mai.N achchaa liKh sakuu.N.

Aapke waqt keliye shukriyaa.


aaKhirii hichaki tere zaanoN pe aaye
maut bhi maiN shaayraana chaahtaa huuN
-Qateel Shifai

Last edited by prasad.kulkarni; 26th July 2008 at 04:00 PM..
   
Reply With Quote