Thread: Koi to ho
View Single Post
Koi to ho
Old
  (#1)
fezan
Registered User
fezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud of
 
fezan's Avatar
 
Offline
Posts: 835
Join Date: Jul 2008
Location: Shehr-e-Adab
Rep Power: 26
Koi to ho - 18th October 2008, 04:23 PM

Aap logon ne apne naam itne shairana rakhhe hain ke unko apni ghazal ka hissa banane ka dil chahta hai aur shayar ko achhi zameen mil jati hai………………..isi koshish me maine ‘Koi to ho’ ki zameen par kuch ashaar nazm karne ki koshish ki hai……………………………….Mulaheza farmayen:

Na gird kaante hon jiske, gulab koi to ho
Halal ho jise peena,sharab koi to ho

Kahun main jisko mera intiqaab, koi to ho
Mere liye bhi kabhi behijaab, koi to ho

Wo jisko dekh ke sara jahan haseen lage
Jahan me aisa hasin behisaab koi to ho

Mujhe to chand ke rukh par bhi ek daag mila
Na jisme daag mile,mahtaab koi to ho

Waraq waraq pe hon jiske hasin hasin chehre
Jamal-o-husn ki aisi kitaab, koi to ho

Ye kaise log hain jo zulm sehte rehte hain
Khilaf-e-zulm yahan inqilaab, koi to ho

Bujhe bujhe se hain chehre phati phati ankhen
Talash karta hun ankhon me khwab, koi to ho

Sawal jisse bhi karta hun chup hi rehta hai
Jafa ke shehr me hazir jawaab, koi to ho

Adu ke dil me tamanna ye reh gayee, Fezan
Meri Ghazal jise keh de kharaab, koi to ho


.
.
.
Koi Aisa Kamaal Ho Jaye
Zindigi Be-Misaal Ho Jaye

Last edited by fezan; 18th October 2008 at 04:38 PM..
   
Reply With Quote