View Single Post
Andar ka zehar choom liya dhul ke aa gaye,
Old
  (#6)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
Andar ka zehar choom liya dhul ke aa gaye, - 11th July 2016, 01:25 PM

Andar ka zehar choom liya dhul ke aa gaye,
kitne shareef log the sab khul ke aa gaye.

Sooraj se jung jeetne nikle the bewqoof,
saare sipaahi mom ke the ghul ke aa gaye.

Masjid mein door door koi dusra na tha,
hum aaj apne aap se mil jul ke aa gaye.

Neendon se jung hoti rahegi tamaam umar,
aankhon mein band khwaab agar khul ke aa gaye.

Sooraj ne apni shakl bhi dekhi thi pehli baar,
aaine ko maze bhi taqaabul ke aa gaye.

Anjaane saaye phirne lage hain idhar udhar,
mausam humare shehar mein kaabul ke aa gaye. !!

– Rahat Indori



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote