View Single Post
Old
  (#22)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
18th January 2013, 04:18 AM

Quote:
Originally Posted by janumanu View Post
Mujeeb bhayee aapka khat padhaa... acha bhi laga ...
ek sawaal hai.. aap chahe to ignore kar sate hai.. aapko bura lage to bhi bata deN.. maiN muaafi maang lungaa ...

aapne jo khat likha ... haalnki jabaab zidd bhayee ko hai... magar taaluk .. shayer se ya uski gahzal hi se hai ... to phir isse shayr ko kya faaiyda yaa uski gahzal ya uske sher ko... kyuN sher to wahiN hai jahan tha
ya maiN nahi samjh pa raha huN..


regards
Aadaab !
moHteram , jaisa ke maiN ne appne pehly hi Khat^ mai a'rZ kiya tha ke mai iSlaaH ke qabil nahi hoN . or jo sawal mere zehn mai aaya us per mukamal wizaHat bhi ker di . shaa'ir ko faaida na sahi per nuqSaan bhi to koi naheeN hai . aur aik baat a'rZ kerta chaloN keh yahaN "soochta" ko "poochta" mai badal dainy se mafhoom waZeH ho sakta hai keh jalaany ke baad woh frebi adaa se pooch raha hai keh yeh jhulsa huwa kiyoN hai . baaqi shaa'ir per munHaSir hai jo iski jaisy rado badal kary.

aur dosri baat yahaN batata chaloN ke her insaan ki apni sooch or alfaaz ka zaKheerah apna apna hota hai akCer auqaat dekhny mai yeh aata hai keh iSlaaH kerny waala itna rad o badal ker daita hai keh she'r ya ghazal ki aSal Halat barqarar hi naheeN rehti , or aisa bhi hota hai keh iSlaaH kerny walaa is qadar alfaaz^on ko shaa'ir ke nazriyah ke ain mut^tabiq joRta hai ke khud shaa'ir jo chaahta hai . or ghazal ya she'r mai nikhar aa jaata hai.

mai un logoN mai shumaar hota hoN jo she'r ya ghazal ki Halat hi kharab ker daity haiN is liye saHb aisi HamaqatoN se ab ijtenaab kerna behter smajhta hoN ke bajay saHeeH kerny ke maiN shaa'ir ki dil azaari hi na ker baiThoN


kshitiz ki baat se mutafiq hoN isi liye aik Soorat bata raha hoN.

Jala ke vo gulshan mera poochtaa hai
Yay jhulsaa huaa sa biyabaan kyoon hai?

baaQi shaa'ir kee apnee merzee is jis tereH chahieN alfaz mai rado badal kar daiN . bataee huwee Sorat per itefaaq kerny kee koee pabandee naheeN hai.


kisi ki bhi dil azaari ke liye ma'zrat khuwa hoN
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote