View Single Post
Old
  (#10)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
2nd October 2015, 09:11 PM

Quote:
Mumbai mein aaye aur mujhe phone tak bhi nahi kiya.....itna hi pyaar raha hai ab.
Arre Bhai jaan.. bohat mann tha par bohat kamm waqt ki mohlat thi .. phir aapse mil k ek dum se to nahi jaane wala tha main .. itne saal ho gaye mile hue .. ek waqt aapse dimaag poora khaali karke jaunga .. so phir jaldi hi aisa waqt aayega aisi umeed hai mujhe ..

Quote:


Chalo kuch sawaalat ki aur rukh karte hai....

Jee Zaroor ...!

Quote:

1. SDC mein apne pasandida shayar bataiye aur yeh bhi bataiye ki vo aapke aziz kyun hai?

maiN waise to yahaan bas ek naam likhna chahta tha kyuNki mujhe lagta hai pasandeeda ek hazaar nahi ho sakte .. wo aur baat hai ki jis fun ko hum pasand karte hai usme sab accha lagta hai .. par pasandeeda ka kya matlab reh jaata hai agar hum sabko bas khush karne ke liye sabka naam likh deN .. par shaayab mere liye bhi ye possible nahi .. to kuch naam hi saamne hai ... aur kyuN wo bhi ..



--- Ek waqt tha jab main jab bhi main MANOJ KUREEL bhai ko padhta tha yahi sochta tha ki jo main sochta huN ye kaise likh lete hai .. mere sabse pehle sabse pasandida shayroN maiN unhi ka naam hai .. aise alfaaz bunte hai manoj bhai jaise makkhan main churi ...



--- Phir aapke sath maine apne alfaaz ko rakhna seekha aapse bohat kuch jaana hai maine .. aur aaj bhi yaqeen se keh sakta huN ..ki aapse jyada romani hona shayad kahin mil jaaye par aapke alfaaz ki romaniyat ka apna ek zaaii'ka hai .. aur yahi baat MAST BHAI ko mere pasand main laa khada karti hai ..



--- Lekin dheere dheere jaise jaise ghazal goyi se raabta hone laga mujhe meri pasand main ek aur shakhs aa khada hua .. Jise aap Sab ZIDD BHAI ke naam se jaante ho .. wo ek alag hi shakshiyat hai aur unki shayri ko maine parwaan chadte dekha hai .. aur phir wo mere pasandeeda ho gaye ..



--- Lekin sahi maaii'noN maiN maine shayri main kisi ko jeete dekha hai to wo aur koi nahi VIKAS RANA(JANUMANU) hai aur unki shayri bhi unhi ke jaisi aala hai .. ek saccha shayar jo shayri, romaniyat, aur qudarat aur ek kashish ko mila ke kalaam zaahir karta hai .. ek waqt main shayri se rishta qariib qariib taud chuka tha .. unhone mujhe shayri se dobara milwaaya aur shayri ki dunia se bhi mujhe ru ba ru karwaaya .. aaj mujhe agar koi stage pe jaanta hai to usme vikas bhai ka bohat bada hath hai .. aur is sab se pare phir kahunga unki shayri aur uski taraf unka junooN unhe mera pasandeeda banaata hai ..



--- YahaaN maiN mere chhote bhai TAISH ka naam lena nahi bhool sakta .. mere saamne hi usne apni kalam ka jauhar dikhaaya hai ... kabhi kabhi rashq karta huN ki mujhe bhi uski tarah kehne ka andaaz mil jaye kahiN se ..



Baaki accha to sab lagta hai par ye log hai jo waqt dar waqt mujhe thoda ziyadah ajeez rahe..


Phir aata huN wapas .. baaki jawaaboN ke sath ...


apna khyaal rakhiye ,,..


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..

Last edited by KunaaL; 2nd October 2015 at 09:17 PM..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote