View Single Post
Old
  (#20)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
3rd October 2015, 08:41 PM

Quote:
kunaal ji....sabhi ke sawaal aur un par aapke jawaab padhe maine...aur bahut achcha laga ki aap poore dil se sabhi sawalon ke jawaab de rahe hain.......

Sdc par aap kinhe padhna pasand karte hain ye jaankar khushi huyi...
Apka shukriya aapne khaak bande ke liye waqt nikaala

Quote:


Main bas itna poochna chahoongi ki-

1. sdc ke alawa urdu ke tamaam mashhoor shayron me se vo kon hazrat hain jinki shayri aapko bahut pasand hai..aur unki shayri aapko likhne ki prerna deti hai

Meri pasand main sabse upar agar kisi ka naam aata hai to wo hai ASRAR UL HAQ "MAJAAZ" unki shayri mehaj shayri nahi ek qudarti tasweer si hua karti hai .. aur mujhe nahi lagta koi unke jaisi soch laa bhar bhi sakta hai ...

baaki jigar muradabadi aur jaun elia.. jaun to humaari jaan haiN.. aur jigar wakai jigar .. jaun ko padhna bas lutf bhar nahi deta .. baat ko kis tarah doosri taraf jaake dekha jaye ye bataata hai .. shayad yahi shayri hai ..

Quote:

2.Kya mahaz shauk ke sath aapne apni pahli rachna likhi...ya fir iske peeche koi dard koi ehsaas koi aisa wakiya jisne aapko likhne pe majboor kiya..

mujhe pata hi nahi hai ki maine apni pehli rachna kab likhi thi .. na jaane main kab se panno main kuch na kuch likh diya karta tha.. kise apni pehli rachna kahuN mujhe nahi pata.. baaki ek baat aapki baat pe JAVED AKHTAR saahab ki yaad aati hai .. ki shayri dard pe hi kyuN jyada hoti hai .. kyuNki jab zindagi maiN koi kami hoti hai tabhi tees hoti hai aur jab hum use keh nahi paate likh dete hai .. shayad yahi kuch raha hoga jo main likhne ki tarah chala gaya .. mujhe accha lagta tha ki log kya kuch sochte hai aur usme ehsaas dhundhne ki koshish karta tha.. bas yahi sab pata hi nahi chala kab ye kami shauq ban gayi aur kab maiN apni baat kehna seekh gaya..

Quote:


To poochna chahoongi ki shayar kya hota hai fir...
Is lafz ki koi khaas pahchaan aapke nazariye se janna chahoongi...

Abhi bas itna hee...
Ijazat chahoongi..
Shayar .. hahahaha aaj ki duniya main shayad hi koii shayar ho .. meri nazar main to nahi hai .. shayar to mirza ghalib the, miir the , jigar the.. ye the shayar .. hum kahan ke shayar jo .. hum to tukbandi kar rahe hai .. kya ijaad kiya hai humne.. aaj kal to sab shayar bane phirte hai .. koi baat ho to keh dete hai gulzaar bhi aise hi likhte hai.. aaj ke daur main truck bhar ke shayri likhi jaati hogi roz shayad .. mujhe nahi maloom log apne sath insaaf kar paate hai ya nahi.. aise main shayar koun hai

shayri karna ek fun hi nahi ek calculation karne jaisa hai ek kalaakaari hai .. mere hisaab se jo adab main apni baat ek alag tareeke se rakh dete hai wahi shayar hai .. jinhe ye sab karne maiN waqt nahi lagta .. ek aur shayri kabhi bas roke nahi ki jaa sakti warna 90 percent log shayar ho jaate ,.. aur ye kehna bhi bwajah hai ki aisa karne se khyaal mar jaate hai .. waisa karne se baat ban jaati hai .. ley main dhaal do to sab accha ho gaya .. nahi .. alfaaz kabhi bhi kaise bhi rakhe jaayeN wo apne aap apni kahaani kehte hai apni gehraai dikhaate hai ..

bas inhi sab baatoN ko mila ke apne experiences ya samajh se jo alfaaz bun de wahi shayar hai .. meri nazar maiN... khud ko nakaarne ki taaqat bhi honi chaiye aur roz kuch naya banane aur samajhne ki hasrat .. jiska koi mukaam na ho wo shayar hai .. par dukh ki baat hai ek makaam pe pahunch ke log apne ko shayar aur na jaane kya kya samajh lete hai ..

Quote:


Abhi bas itna hee...
Ijazat chahoongi..
Shukriya aapka intezaar rahega .. shabba khair ...

Kunaal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote