adaab doston - yeh ghazal hume kisi site par mili lekin hum yeh nahi jaante iske lekhak kaun hain - phir bhi hum yeh post kar rahe hain kyuki hume bahut pasand aayi!

- Mahek -
Ye kaun aata hai tanhaiyon mein jaam liye
Dilon mein chaandni raaton ka ehtemaam liye
Chatak rahi hai kisi yaad ki kali dil mein
Nazar mein raqs-e-bahaaran ki subha shaam liye
Mahek Mahek ke jagati rahi naseem-e-saher
Labon pe yaar-e-masiha nafas ka naam liye
Kisi khayal ki khushboo kisi badan ki Mahek
Dar-e-qafas pe khadi hai saba payaam liye
Bajaa raha thha kahin door koi shehnai
Utha huun aankhon mein ik khwaab-e-na tamaam liye
zindagI jab bhI terI bazm mein LAtI hai hamein
ye zamIn chAnd se behatar nazar AtI hai hamein
surkh phUlon se MAHEK uThatI hain dil kI rAhen
din Dhale yUN terI AvAz bulAtI hai hamein
----------------------------------------------
taeray Gham ki KhuShbu say jism-o-jaaN MAHEK uTThay
saaNs ki havaa jab bhi Choo kay maeray lab guzri
aek saath reh kay bhi, door hi rahay ham bhi
dhoop aur Chaa'ooN ki dosti ajab guzri