Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Lyrics > Hindi/Urdu Lyrics

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Chithhi na koyi sandesh- DUSHMAN
Old
  (#1)
farhana
Registered User
farhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud of
 
farhana's Avatar
 
Offline
Posts: 3,383
Join Date: Dec 2002
Location: *~**Khwaabon ke sheher se*~**
Rep Power: 35
Thumbs up Chithhi na koyi sandesh- DUSHMAN - 26th October 2005, 11:24 PM

..A VERY SENTI SONG...LOVE IT!
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Ho… chithhi na koi sandesh
Jaane woh kaun sa desh jaha tum chale gaye
Chithhi na koyi sandesh
Jaane woh kaun sa desh jaha tum chale gaye
Chithhi na koyi sandesh
Jaane woh kaun sa desh jaha tum chale gaye
Jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye...

Ek aah bhari hogi hamne na suni hogi
Jaate jaate tumne awaaz to di hogi
Har waqt yehi hai gham, us waqt kaha the hum
Kaha tum chale gaye
Chithhi na koi sandesh jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye...

Har cheez pe ashkon se likha hai tumhaara naam
Ye raste ghar galiyaan tumhe kar na sake salaam
Hai dil mein reh gayi baat, jaldi se chhuda kar haath
Kaha tum chale gaye
Chithhi na koi sandesh jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jahan tum chale gaye...

Ab yaadon ke kaante is dil mein chubhte hain
Na dard thhaherta hai na aanson rukte hain
Tumhe dhhundhh raha hai pyaar, hum kaise karein iqraar
Kaha tum chale gaye
Chithhi na koi sandesh jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jahan tum chale gaye...
Ho kahan tum chale gaye -3


"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."


**~*FaRhAnA*~**
  Send a message via Yahoo to farhana  
Reply With Quote
I just love this Ghazal
Old
  (#2)
charora
Registered User
charora is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 68
Join Date: Jul 2005
Location: California
Rep Power: 19
I just love this Ghazal - 26th October 2005, 11:51 PM

Hi Farhan

I just love this Ghazal by Jagjeet Singh

Thanks for sharing the lyrics
  Send a message via Yahoo to charora  
Reply With Quote
Old
  (#3)
farhana
Registered User
farhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud of
 
farhana's Avatar
 
Offline
Posts: 3,383
Join Date: Dec 2002
Location: *~**Khwaabon ke sheher se*~**
Rep Power: 35
27th October 2005, 12:14 AM

hi there...aap aaj dusri baar mujhe farhan keh rahe hain...mera naam farhana hai.....hehe.farhan ladke ka naam hota hai...aur mein ladki hoon isliye farhana.....
aapki tarah mujhe bhi yeh ghazal bahaut pasand hai.....
yuhin apni pasand batate rahiyega aage bhi....apna khyaal rakhiyega....


"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."


**~*FaRhAnA*~**
  Send a message via Yahoo to farhana  
Reply With Quote
Hi!!
Old
  (#4)
charora
Registered User
charora is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 68
Join Date: Jul 2005
Location: California
Rep Power: 19
Hi!! - 27th October 2005, 12:17 AM

Maine samjha naam Farhan hai.....Angrez log Farhana bolte honge jaise ki Karnatak to Karnataka, Maharastra ko Maharastraa

Agli baar se Farhana likhoonga
  Send a message via Yahoo to charora  
Reply With Quote
Old
  (#5)
farhana
Registered User
farhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud of
 
farhana's Avatar
 
Offline
Posts: 3,383
Join Date: Dec 2002
Location: *~**Khwaabon ke sheher se*~**
Rep Power: 35
27th October 2005, 12:23 AM

well mein angrez nahi hoon...indian muslim hoon.
jaise amit ko amita
jaise maneesh se maneesha
waise hhi farhan se farhana.......

apna khyaal rakhiyega.......aapki dost.


"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."


**~*FaRhAnA*~**
  Send a message via Yahoo to farhana  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is Off
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Ek umeed ka sandesh ajay nidaan General Stories 0 31st August 2010 09:33 PM
*Tum Sa Koyi Pyaara Koyi Masoum :)** Shimul Hindi/Urdu Lyrics 4 10th January 2006 07:21 PM
shri ram ka sandesh kunjal Humourous Shayri 2 7th May 2004 01:49 PM
pyar ka sandesh fi_rose Humourous Shayri 2 23rd March 2003 12:38 PM
Holi ka sandesh Vipinbox Shayri-e-Dard 0 18th March 2003 02:28 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com