Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ghazal 2: Misum Moosavi
Old
  (#1)
Sahil Syed
Meesam
Sahil Syed has a spectacular aura aboutSahil Syed has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 33
Join Date: Apr 2013
Rep Power: 0
Ghazal 2: Misum Moosavi - 18th April 2013, 01:13 AM

Khawateen-o-Hazrat, Mohtaram Naazreen,

As-salam Alaikum!!

Iss haqeer ki doosri ghazal aap sab ki buzurg sama'aton ki nazr karta hoon.

Meri iss koshish mein se ek qayal ya sirf ek sher bhi agar aapko pasand aaye toh

mere liye dua zaroor kijiyega!

-Misum Moosavi

Ghazal:

Meri zubaa(n) pe tera tazkera mudaam rahe
Har aik saans mein meri tera hi naam rahe

Zamaane bhar mein tere aur honge deewane
Bas unn mein aik mera munfarid maqaam rahe

Meri nazar se bahot door hai tu door sahi
Bas itna chaahta hoon mai dua salaam rahe

Tujhe hi dhoondti hai har ghadi nazar meri
Teri hi yaad mein ghamgeen meri shaam rahe

Gham mere baant lein aisa koi hamdard nahi
Khushi ke waqt mein shaamil toh khaas o aam rahe

Dinn bahot kam hi bache hai yeh zindagani ke
Ab toh bas ahle wafa hi se mujh ko kaam rahe

Kuch aisa kaam karu mai ke ahle duniya mein
Ke mere baad bhi baaqi mera payaam rahe

Har ek lafz mera sama'een tak pohonche
Warna phir be asar mera har ek kalaam rahe

Shayari shouq se karo magar suno Misum
Asaatizah ki buzurgi ka ehteraam rahe


~Iss shayari ki bazm mein Misum yeh dekhenge
ke kitne kheemti gouhar nikalte hai khazaane se~
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
18th April 2013, 09:36 AM

Quote:
Originally Posted by Misum Moosavi View Post

Ghazal:

Meri zubaa(n) pe tera tazkera mudaam rahe
Har aik saans mein meri tera hi naam rahe

Zamaane bhar mein tere aur honge deewane
Bas unn mein aik mera munfarid maqaam rahe

Meri nazar se bahot door hai tu door sahi
Bas itna chaahta hoon mai dua salaam rahe

Tujhe hi dhoondti hai har ghadi nazar meri
Teri hi yaad mein ghamgeen meri shaam rahe

Gham mere baant lein aisa koi hamdard nahi
Khushi ke waqt mein shaamil toh khaas o aam rahe

Dinn bahot kam hi bache hai yeh zindagani ke
Ab toh bas ahle wafa hi se mujh ko kaam rahe

Kuch aisa kaam karu mai ke ahle duniya mein
Ke mere baad bhi baaqi mera payaam rahe

Har ek lafz mera sama'een tak pohonche
Warna phir be asar mera har ek kalaam rahe

Shayari shouq se karo magar suno Misum
Asaatizah ki buzurgi ka ehteraam rahe
WaaH ! Bahut Khoob Ashaar

AchChhi ghazal huii ... Mubaaraqbaad !!!




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#3)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
18th April 2013, 10:09 AM

Quote:
Originally Posted by Misum Moosavi View Post
Khawateen-o-Hazrat, Mohtaram Naazreen,

As-salam Alaikum!!

Iss haqeer ki doosri ghazal aap sab ki buzurg sama'aton ki nazr karta hoon.

Meri iss koshish mein se ek qayal ya sirf ek sher bhi agar aapko pasand aaye toh

mere liye dua zaroor kijiyega!

-Misum Moosavi

Ghazal:

Meri zubaa(n) pe tera tazkera mudaam rahe
Har aik saans mein meri tera hi naam rahe

Zamaane bhar mein tere aur honge deewane
Bas unn mein aik mera munfarid maqaam rahe

Meri nazar se bahot door hai tu door sahi
Bas itna chaahta hoon mai dua salaam rahe

Tujhe hi dhoondti hai har ghadi nazar meri
Teri hi yaad mein ghamgeen meri shaam rahe

Gham mere baant lein aisa koi hamdard nahi
Khushi ke waqt mein shaamil toh khaas o aam rahe

Dinn bahot kam hi bache hai yeh zindagani ke
Ab toh bas ahle wafa hi se mujh ko kaam rahe

Kuch aisa kaam karu mai ke ahle duniya mein
Ke mere baad bhi baaqi mera payaam rahe

Har ek lafz mera sama'een tak pohonche
Warna phir be asar mera har ek kalaam rahe

Shayari shouq se karo magar suno Misum
Asaatizah ki buzurgi ka ehteraam rahe

Misum bhai aaadaab...... bhai kamaal ki ghaazal pesh ki hai aaapne ek ek sher ka jalwa hi alag hai..... bahot kaamaaal likha hai mubaarakbaad qubool karen..

Bas ek choti si iltijaa hai ke jab aap koi kalaam posst kareN to mehrbaani kar ke ek hi appropriate forum me post kijiye, warna duplicate post ko dusri jagah se hataaa diyaa jaaaega...

Ye kaalaam jo ghazal section me aapne post ki hai main use mahaz rules ko follow karte hue wahaan se hataa raha hoon.... is ummeed ke saath ke aapko meri baatoN ka buraa nahi lagegaa... aur agar khaatawaar samjheN to muaafi ka arzmand hoon....

Shukriyaa

Shaad....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
18th April 2013, 11:48 AM

MashaAllah behad umda kalaam hai meesum sahab...

Har ek sher lajawaab...

Waaaaaah....waaaaah..

Jitni tareef ki jaaye kam hai...bohat hi shaandaar peshkash...waqay dil khush hogaya padhker..

2,3,7 are the best,dil ki gehraayiyon ko chu gaye yeh ashaar..

Baqi ghazal bhi kamaal hai..

Yuhi likhte rahiye.....




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Sahil Syed
Meesam
Sahil Syed has a spectacular aura aboutSahil Syed has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 33
Join Date: Apr 2013
Rep Power: 0
18th April 2013, 08:18 PM

Nek hidaayat ke liye shukriya Shaad sahab,

mujhe aap yeh bhi bata dijiye ke agar hum ghazal likhte hain toh usko 'ghazal' section mein post karna theek hoga ya 'aapki shayari' mein post karein?


~Iss shayari ki bazm mein Misum yeh dekhenge
ke kitne kheemti gouhar nikalte hai khazaane se~
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Ahmad Hyderabadi
Registered Member
Ahmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant future
 
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 31
Thumbs up 19th April 2013, 12:28 AM

Quote:
Originally Posted by Misum Moosavi View Post
Khawateen-o-Hazrat, Mohtaram Naazreen,

As-salam Alaikum!!

Iss haqeer ki doosri ghazal aap sab ki buzurg sama'aton ki nazr karta hoon.

Meri iss koshish mein se ek qayal ya sirf ek sher bhi agar aapko pasand aaye toh

mere liye dua zaroor kijiyega!

-Misum Moosavi

Ghazal:

Meri zubaa(n) pe tera tazkera mudaam rahe
Har aik saans mein meri tera hi naam rahe

Zamaane bhar mein tere aur honge deewane
Bas unn mein aik mera munfarid maqaam rahe

Meri nazar se bahot door hai tu door sahi
Bas itna chaahta hoon mai dua salaam rahe

Tujhe hi dhoondti hai har ghadi nazar meri
Teri hi yaad mein ghamgeen meri shaam rahe

Gham mere baant lein aisa koi hamdard nahi
Khushi ke waqt mein shaamil toh khaas o aam rahe

Dinn bahot kam hi bache hai yeh zindagani ke
Ab toh bas ahle wafa hi se mujh ko kaam rahe

Kuch aisa kaam karu mai ke ahle duniya mein
Ke mere baad bhi baaqi mera payaam rahe

Har ek lafz mera sama'een tak pohonche
Warna phir be asar mera har ek kalaam rahe

Shayari shouq se karo magar suno Misum
Asaatizah ki buzurgi ka ehteraam rahe
Tasleemaat Maisam Bhaee!

MashaAllah! Bayhad aalatareeen ghazal! Bayhad mutaasir huay hayn aapkay is pukhta kalaam say! Hamaree jaanib say dhayroan daad vasool karayn janaab! Good to see such a well versed poet join the family! Looking forward to your future postings!


Duagoh

Ahmad
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Sahil Syed
Meesam
Sahil Syed has a spectacular aura aboutSahil Syed has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 33
Join Date: Apr 2013
Rep Power: 0
19th April 2013, 11:29 PM

Bahot mamnoon-o-mutashakkir hoon aap tamaam hazraat ka ke aap logon ne isay usi quloos ke saath qubool kiya jiss quloos se maine isay likha tha,

Bil qusoos Ahmad sahaab!! aapne jo izzat di mujhe, yeh aapki mohobbat aur aapka husn-e-sama'at hai!


Waise aapko bataa doon ke mera bhi talluq Hyderabad Deccan se hai!


~Iss shayari ki bazm mein Misum yeh dekhenge
ke kitne kheemti gouhar nikalte hai khazaane se~
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
20th April 2013, 12:46 AM

lajawaab ghazal hai moHteram , kiya hi baat hai bahut umda , wah wah !

daad qabool fermaaieN

zor e qalam or ziyaadah.
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#9)
Feroz
None
Feroz will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 88
Join Date: Oct 2001
Location: Canada
Rep Power: 23
26th April 2013, 04:23 AM

ghazal to achi hai , lekin ye aap ne hamaari sama'aton ko buzurg kah kar ...
khair.. aap jis narmi se ghazal kee tamheed baandtey hain, us key baad tanqeed kee gunjaaish kam hee rah jati hai..

mubarakbaad,

Feroz



Feroz
ye zindagi hai kya 'feroz' shayari hai kya
kuchh haulnaak haadsey asha'ar ho gaye
  Send a message via Yahoo to Feroz  
Reply With Quote
Old
  (#10)
Sahil Syed
Meesam
Sahil Syed has a spectacular aura aboutSahil Syed has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 33
Join Date: Apr 2013
Rep Power: 0
26th April 2013, 10:22 PM

Janab Feroz sahaab,

Bahot shukriya aapka ke aapne meri is koshsih ko padhne ki zehmat ki.
Mai chahoonga ke aap sacche dil se iss ghazal ki pazeerai karein.

Ek acche saameh ki nishaani yeh hai ke woh jo sunn raha hai uske har lafz ki taqtee kare aur agar kaheen bhi ghalti hui ho toh fauran tanqeed kar maddah ko islaah ka hukm dein.

Agar mujh se kaheen koi kotaahi hogayi ho toh mujhe aagah kar dijiye bhai..
Aapka ehsaan hoga!!


~Iss shayari ki bazm mein Misum yeh dekhenge
ke kitne kheemti gouhar nikalte hai khazaane se~
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
Hatim Jawed
Registered User
Hatim Jawed will become famous soon enough
 
Hatim Jawed's Avatar
 
Offline
Posts: 26
Join Date: Oct 2011
Location: Bihar, India
Rep Power: 0
26th April 2013, 11:47 PM

Quote:
Originally Posted by Misum Moosavi View Post
Khawateen-o-Hazrat, Mohtaram Naazreen,

As-salam Alaikum!!

Iss haqeer ki doosri ghazal aap sab ki buzurg sama'aton ki nazr karta hoon.

Meri iss koshish mein se ek qayal ya sirf ek sher bhi agar aapko pasand aaye toh

mere liye dua zaroor kijiyega!

-Misum Moosavi

Ghazal:

Meri zubaa(n) pe tera tazkera mudaam rahe
Har aik saans mein meri tera hi naam rahe

Zamaane bhar mein tere aur honge deewane
Bas unn mein aik mera munfarid maqaam rahe

Meri nazar se bahot door hai tu door sahi
Bas itna chaahta hoon mai dua salaam rahe

Tujhe hi dhoondti hai har ghadi nazar meri
Teri hi yaad mein ghamgeen meri shaam rahe

Gham mere baant lein aisa koi hamdard nahi
Khushi ke waqt mein shaamil toh khaas o aam rahe

Dinn bahot kam hi bache hai yeh zindagani ke
Ab toh bas ahle wafa hi se mujh ko kaam rahe

Kuch aisa kaam karu mai ke ahle duniya mein
Ke mere baad bhi baaqi mera payaam rahe

Har ek lafz mera sama'een tak pohonche
Warna phir be asar mera har ek kalaam rahe

Shayari shouq se karo magar suno Misum
Asaatizah ki buzurgi ka ehteraam rahe
wah! kya baat hai Misum moosavi sahab !! bahut hi umda ghazal inayat ki hai aap ne..daad qubool farmaaeN...,magar ek baat...,isay meri naqis ilmi salaahiyat kaheiN k she'r no. 5,6,8 aur 9 ka behr meri samajh meiN nahi aaya...agar ho sake to iss par roshni daalne ki karam farmaai karengay taa ke meri ilmi salaahiyat meiN izafa ho sakay.
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Sahil Syed
Meesam
Sahil Syed has a spectacular aura aboutSahil Syed has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 33
Join Date: Apr 2013
Rep Power: 0
27th April 2013, 12:41 PM

Salam alaik Hatim sahaab,

Koshish karta hoon ke aapko unn ash'aar ki behr samajh aasake:

Behr-e-Mujtas with zihaafaat
---------------------------------------
Ma-faa-i-lun Fa-i-laa-tun Ma-faa-i-lun Fa-i-lun

Classic by Faiz Ahmed 'Faiz':

GuloN meiN rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
Chale bhii aao ki gulshan ka kaar-o-baar chale

==============================================

Poora kalam isi behr par kaha hai maine.
Ummeed karta hoon ke baat samajh agayi hogi...agar phir bhi koi sawaal aapke zehen mein hai toh mai aapki khidmat ke liye haazir hoon sarkar!


~Iss shayari ki bazm mein Misum yeh dekhenge
ke kitne kheemti gouhar nikalte hai khazaane se~
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
Hatim Jawed
Registered User
Hatim Jawed will become famous soon enough
 
Hatim Jawed's Avatar
 
Offline
Posts: 26
Join Date: Oct 2011
Location: Bihar, India
Rep Power: 0
28th April 2013, 12:56 AM

Quote:
Originally Posted by Misum Moosavi View Post
Salam alaik Hatim sahaab,

Koshish karta hoon ke aapko unn ash'aar ki behr samajh aasake:

Behr-e-Mujtas with zihaafaat
---------------------------------------
Ma-faa-i-lun Fa-i-laa-tun Ma-faa-i-lun Fa-i-lun

Classic by Faiz Ahmed 'Faiz':

GuloN meiN rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
Chale bhii aao ki gulshan ka kaar-o-baar chale

==============================================

Poora kalam isi behr par kaha hai maine.
Ummeed karta hoon ke baat samajh agayi hogi...agar phir bhi koi sawaal aapke zehen mein hai toh mai aapki khidmat ke liye haazir hoon sarkar!
Mohtaram janab Misum moosavi sahab ! baja farmaya aap ne k iss ghazal ka behr hai:-
Ma-faa-i-lun Fa-i-laa-tun Ma-faa-i-lun Fa-i-lun
Magar meri naqis samajh se iss ghazal ke chand misray iss behr meiN nahi lagte haiN, maslan :-
she'r no.5 ka misra oola-
gham mere baaNt leiN aisa koi hamdard nahi
2-----1--2--2--1---2---2-2---1-2--2--2--1---1--2
Faa---i-laa-tun-Fa-oo-lun-Faa-i-lun-Fe-lun-Fa-i-lun

issay kuchh yuN hona chahiye :-
Ghamo'N ko baaNt le ai sa koi rafeeq nahi
1----2---1--2--1-1---2--2---1-2----1--2-1-1-2
Ma-faa---i-lun--Fa-i-laa-tun-Ma-faa-i-lun-Fa-i-lun
she'r no.6-
Din bahut kam hi bache haiN ye zindgani ke
2---1---2---2---1--1---2---2----1--2-1-2-2---2
Faa-i-lun Faa---i--la-tun--Faa--i--lun-Ma-faa-ee-lun
Ab to bas ahle wafa hi se mera kaam chale
2---1---2---2-1--1--2--2---1--1--2--2--1--1---2
Faa--i--lun-Faa-i-la-tun-Faa-i--la-tun-Faa-i--la-tun
issay kuchh yu'N hona chahiye:-
Bahut hi kam haiN bache din ye zin d ga n i ke
1---2--1--2----1----1---2--2---1---2-1--2-1-1--2
Ma-faa-i--lun --Fa----i--laa-tun-Ma-faa-i-lun-Fa-i-lun
ba sab to ahle wafa hi se mera kaam chale
1---2---1--2-1--1--2--2--1--2--1--2--1--1--2
Ma-faa--i-lun-Fa-i-laa-tun-Ma-faa-i-lun-Fa-i-lun
waghairah waghairah
ye koi zaroori nahi mera aisa sochna durust ho,kyoNke maiN to abhi khud hi tifle-maktab hooN....l apne ilm meiN izaafa karne ki gharaz se aap ki rahnumaai cgaahta hooN.

Last edited by Hatim Jawed; 28th April 2013 at 01:18 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
Sahil Syed
Meesam
Sahil Syed has a spectacular aura aboutSahil Syed has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 33
Join Date: Apr 2013
Rep Power: 0
28th April 2013, 08:35 AM

Bhai itni samajh mujh mein bhi nahi hai kyun maine kaheen seekha nahi hai kisi se.
Bas apni khud ki koshish pesh karta hoon.

Mere qayaal hai ke aap ko bohot kuch pata hai.
Jis jasaarat se aapne har ek misre ki taqtee kar daali aap ustaad aadmi lagte hain mujhe...
Aur phir aapne aap ko tifl e maktab bhi kehte hain..
Yeh inkesaari ki hadh hogayi janaab


~Iss shayari ki bazm mein Misum yeh dekhenge
ke kitne kheemti gouhar nikalte hai khazaane se~
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com