Anmol moti -
30th November 2010, 06:23 PM
1) RishtoN ki asal khubsurti ek doosray ke baat ko bardasht karna haiN.
2) Be aeb Insaan ko talash mat karo warna akele reh jaogay.
3) Jab kisi kaam ka irada karo to uska anjaam soch lo, agar iska anjaam acha ho to karlo,aur agar anjaam bura ho to usse ruk jao...!
4) Kisi sey naraazgi ka waqt itna taweel na rakho ke wo tumhaare bagair hi jeena seekh jaye.
5) Hasad karne wala apni maut se pehle hi mar jaata hai.
6) Gunah meiN Lazzat hoti hain Sukoon nahi.
7) Baat Alfaaz ki nahi lehje ki hoti hai.
8) Apne khayaloN ki hifazat karo kyoN ke yeh tumhare alfaaz ban jaate haiN.
Apne Alfaaz ki hifazat karo kyoN ke ye tumhare Aamal ban jaate haiN.
Apne Aamal ki hifazat karo kyoN ke yeh tumhare kirdar ban jaate haiN.
Aur Apne kirdar ki hifazat karo kyoN ke tumhara kirdar tumhari pehchan ban jati hain.
Zainy
PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...
Nm
|