Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
sahrab
Old
  (#1)
lubna sardar
Registered User
lubna sardar will become famous soon enoughlubna sardar will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 6
Join Date: Aug 2002
Location: karachi
Rep Power: 0
sahrab - 12th October 2002, 01:30 PM

mujh ko bay musami golab na day
kuhab day per koi sarab na day
ranjishien tou baja sahi lakin
itni nafrat say tou jawab na dey
mujh ko cehnay jo meray apno say
is tarhan ki koi ketab na dey
mein pojaran hoon chand raton ki
ya kuhda mujhe ko aftab na dey
wesil ki sham bhi dekha ya rab
musamay hijer kay azab na dey
mujhe ko pena hai un ki ankhon say
abb mujhay koi bhi sahrab na day


lubna sardar khan
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Feroz
None
Feroz will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 88
Join Date: Oct 2001
Location: Canada
Rep Power: 23
13th October 2002, 06:31 AM

lubna sahabaa
aadaab

aaj aap kii ghazal pahlii dafaa paDhnaa nasiib huii hai.. aur maiN is bazm meiN aap kaa isteqbaal kartaa huN..
aap kii ghazal bahut pasaNd aayii.. zaahir hai ki aap kucch arse se sher kah rahii haiN>. ,,,

mujh ko bay musami golab na day
kuhab day per koi sarab na day
>.. waaahhh

ranjishien tou baja sahi lakin
itni nafrat say tou jawab na dey
>.. kyaa sher hai..

wesil ki sham bhi dekha ya rab
musamay hijer kay azab na dey
>.. bahut khoob..

mujhe ko pena hai un ki ankhon say
abb mujhay koi bhi sahrab na day
waah..

ek baat kahnaa chaahuNgaa wo hai ki aap ko shaayad roman english meiN urdu kii ghazal post kartey huey zyaadaa der nahiiN huii .. is liiye mainey koshish kii hai sirf rasm ul khat ko sahii karney kii aap chaaheiN to is ko copy and paste kar saktii haiN. .is se aur dostoN ko padhney meiN diqqat nahiiN aayegii

mujh ko be mausamii gulaab na day
khaab de per koi saraab na day

ranjishien to bajaa sahee lekin
itnii nafrat say to jawaab na dey

mujh ko chcheeney jo merey apnoN say
is tarhaa kii koii kitaab na dey

mein pujaaran hooN chand raatoN kii
yaa khudaa mujh ko aaftaab na dey

wasl ki shaam bhii dikhaa yaa rab!
mausam e hijr kay azaab na dey

mujh ko piinaa hai un ki aankhon say
ab mujhey koii bhii shraab na day

.................................................. ........
ummiid hai aap buraa nahiiN maaneiNgii.. shukria.aap ke kalaam kaa intezaar rahegaaa.

Feroz



Feroz
ye zindagi hai kya 'feroz' shayari hai kya
kuchh haulnaak haadsey asha'ar ho gaye
  Send a message via Yahoo to Feroz  
Reply With Quote
Bahut Khoob
Old
  (#3)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 28
Thumbs up Bahut Khoob - 14th October 2002, 07:16 PM

Lubna Saheba

aadab

Aapne bahot hi achchi ghazal kahi hai. Aur ashaar se zahir bhi hota hai ke aap kaafi arse se likh rahii haiN.

Sabhi sher bohat pasand aaye aur isiiliye kisii aik sher kii nishaandehi karna baqi ashar ke ke saath na-insaafi hogi.

Aapke mazeed kalamoN ka intezaar rahega.

Aik behtareen ghazal kehne par mubarakbaad ke saath.

Praveen Saxena

Quote:
Originally posted by lubna sardar
mujh ko bay musami golab na day
kuhab day per koi sarab na day
ranjishien tou baja sahi lakin
itni nafrat say tou jawab na dey
mujh ko cehnay jo meray apno say
is tarhan ki koi ketab na dey
mein pojaran hoon chand raton ki
ya kuhda mujhe ko aftab na dey
wesil ki sham bhi dekha ya rab
musamay hijer kay azab na dey
mujhe ko pena hai un ki ankhon say
abb mujhay koi bhi sahrab na day


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#4)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
16th October 2002, 11:03 AM

lubna saheba

tasleem

bazm meiN aapka isteqbaal hai.....!!

Ghazal ke tamaam ash'aar bohat pasaNd aaye

ummiid gai ke aapke aur kalaam sun'ne ko mileNgey


aadaab
maikasH


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com